Saturday, April 20, 2024
HomeHyderabadTelangana mein corona ki teesri lehar muhlik nahi lekin chauksi intehai zaroori

Telangana mein corona ki teesri lehar muhlik nahi lekin chauksi intehai zaroori

Hyderabad: Chief secretary Somesh Kumar ne kaha ke Telangana mein corona ki teesri lehar ke baare mein awaam ko khauf zada hone ki koie zaroorat nahi hain. Kyun ke teesri lehar ke zyada muhlik sabit hone ke baare mein koie science tehqeeq nahi hain. Awaam ko mashwara diya ke woh teesri lehar ke baare mein be fikr hone ke bajai chauksi barqarar rakhe. Unho ne kaha ke hukoomat teesri lehar ke aane ki Surat mein us se nipatne ke liye har tarha se taiyar hai. Hukoomat ne GHMC aur contounment ke hudood mein teeka andazi ki khusoosi muhim shuroo ki hain jis ka agaaz ho chuka hain.

Chief secretary ne khairiyat abaad ke old CIB quarters mein waqayi teeka andazi camp ka daura kiya. Unho ne medical amlaa aur awaam se mulaqat ki. Hukoomat greater Hyderabad aur contounment hudood mein sad feesad teeka andazi yaqeeni banane ke liye Monday se muhim ka agaaz kar chuke hain jiske tehat aainda 10 ta 15 dino tak ghar ghar pohunch kar sarwe kiya jaeiga. Somesh Kumar ne kaha hai ke shehar mein 4846 coloniyon mein aise afraad ki nishan dahi ki jaarahi hain jinho ne abhi tak teeka nahi liya hai. Har mahalle ke liye teeka andazi ka shadule tayyar kiya gaya hain. Jin makaanat mein teeka andazi mukammil ho chuki hain unpar 2 steakar chaspa kiye jaeinge.

Somesh Kumar ne kaha ke khusoosi muhim ke sabab kayi afraad teeka andazi ke liye razakarana taur par marakiz pohunch rahe hain unho ne aeteraaf kiya ke ghalat fehmiyon aur dar ke nateeje mein kayi afraad ne vaccine nahi li hai. Chief secretary ne kaha hai ke teeka andazi mukammil karne wali colony mein khusoosi board aawiza kiye jaeinge. Aainda 15 dino mein har shaqs ko kam az kam vaccine ki ek khuraaq dene ka mansooba hain unho ne kaha ke Hyderabad mein teeka andazi muhim ki takmeel ke baad riyasat bhar mein yeh muhim chalayi jaeigi. Mulk ki kisi bhi riyasat mein teeka andazi ke liye is tarha ki muhim ki ittelaat nahi hain.