Hyderabad: Telangana awaam ke liye yeh rahat ki khabar hain ke riyasat mein dusri lehar jaisi shiddat wali corona ki teesri lehar ka koie khadsha nahi hain aur Hindustan bhar mein bhi kam se kam ainda chand maah mein aisa koie khadsha nahi hain. Sehat e aamma ke auhdedaro wabai amraz ke mahireen aur muhaqqiqeen ke mutabiq teesri covid lehar ka musataqbil khareeb mein Telangana aur mulk mein bhi hone ka khadsha nahi hain.
Tashqees ke bade paimane par hasil karda natayej ke baad kaha jaraha hain ke corona ki teesri lehar aane ka khadsha nahi hain. kam se kam agle chand mahino mein Waba ka zor nahi hoga jis ke kayi awayil hain jin mein abhi tak tezi se phailne wale naye virus ki ek khisam ke zahoor ka koie wazeh saboot nahi hain jo ke corona ke phailne ka sabab ban sakta hain.
Filhaal Telangana mein teesri lehar ke koie ishare nahi hain hamari tawajjeh zyada se zyada afraad ko jald se jald vaccine dilwane ki hain. Jo infection mein kisi bhi naye izafe ko rokne mein bhot aage jaeiga taa hum logon ko muhtaat rehna chahiye aur ehtiyati tadabeer ikhtiyar karni chahiye.
Teesri lehar par apne tajziya mein Kanpur aur Hyderabad ke IIT ke muhaqqiqeen jinho ne wabai amraz ki paish khiyasi ke liye sauter riyazi ka model taiyar kiya tha unho ne wazeh kiya ke teesri lehar ek choti si lehar ke taur par khatam ho sakti hain unho ne mazeed kaha hai ke hamare taqmeene batate hai ke agar koe zyada tezi se phailne wala virus nahi hain toh teesri lehar ek kamzor lehar hogi.
Mazeed yeh ke bade shehri marakiz jaise GHMC medchal malkaj girl aur ranaga Reddy izla mein mutasir hone ke liye bohot hi kam afraad baqi reh sakte hain ICM aur Serum servilence ne ishara diya hain ke Hyderabad aur Telangana ke deegar hisson mein 60 se 63 feesad afrad ke darmiyan pehle se hi anti bodeis tayyar ho chuki hain jis se zahir hota hai ke ek badi abaadi pehle mutasir huwi thi woh shayed ab is se mutasir nahi hogi mazeed yeh ke yaha ek qabil e zikr abaadi hain jo pehle hi vaccine karwa chuki hain yeh awayil covid mamlaat mein musataqbil mein izafe ke asrat ko kam karne mein ahem kirdar adaa kar sakte hain.