Friday, May 3, 2024
HomeSliderTelangana mein Corona ki doosri lehar, Ahteyati tadabeer par sakhti se amal...

Telangana mein Corona ki doosri lehar, Ahteyati tadabeer par sakhti se amal karne ki hidaayat

Hyderabad: Telangana mein ek martaba phir Corona ( Covid-19 ) ke naye mareezon ki tadaad mein izafah dekha ja raha hai jaisa ke pichlle 7 dinon mein rozana ke naye mareezon ki tadaad mein ausatan 24 feesad izafah huwa hai. Mehakma sehat ke ohdedaron ne ek martaba phir awam se Appeal ki hai ke woh haath dhoney, Mask pahannay aur ek dosray se 6 feet ke faaslay ko yakeeni banaye  taake riyasat ko corona ki ek aur lehar se mehfooz kiya jasakay. 23 taa 29 October tak rozaanh aosatan 1153 waqeat darj kiye jarahay thay liken 30 October se yomiya mareezon ki ausatan tadaad 1432 hochuki hai.

Director Public Health Dr. G Srinivas Rao ke mutabiq Delhi aur Kerala mein pichlle haftay se mareezon ki tadaad mein izafah dekha ja raha hai. Un dono reyaston mein sab se pehlay Infection huwa tha. Hum yeh nahi keh satke ke Telangana mein doosri lehar nahi hogi. Jab log Covid ke usoolon ko nazar andaz kar dein ge aur hakoomaten is ko sahih tareeqay se nipat nahi rahi hain, Tab hum nah sirf doosri balkay mutadid covid lehron ko dekhen ge.

Jab hum Corona se pehlay walay dinon mein wapas jane ke baray mein sochte hain to aisi lehron ko roknay ke liye hamein ahteyati tadabeer par sakhti se amal pera hona hoga. Khaas tor par doosri lehar logon ke la parwahi ki wajah se shadeed honay wali hai. CCMB ke Director Rakesh Mishra ke mutabiq doosri lehar insani tarz amal ki wajah se hai. Yeh kahin bhi hosakti hai aur Hindustan bhi is se mustasna nahi hai.

Doosri lehar ka virus har jagah mojood hai jo kay chhootey se  jage se leker baday baday maqamat tak is ki mojoodgi se inkar nahin kiya ja sakta hai. Log ziyada aaraam da aur be fikar hogaye hain mask ka istemaal tark kar chukay hain , Masharti doori ka ehtram nahi karte hain. Pehli lehar virus ke ek khittay se dosray khittay mein phelnay ki wajah aayi thi aur agar hum mohtaat nahi rahay to yeh badi tadaad mein phoot pade ga kyunkay yahan senkdon Beijing Points mojood hain. Mehakma sehat ne awam ko sardiyoon ke mausam mein chokanna rehne ke ilawa safai, Mask aur masharti faaslay par sakhti se pabandi ki hidaayat di hai taakay Telangana mein corona ki doosri lehar ko roka jasakay.