Friday, March 29, 2024
HomeSliderTelangana mein corona ke teekay denay ka aaghaz

Telangana mein corona ke teekay denay ka aaghaz

Hyderabad: Corona ki wajah se kayi mahino se log pareshan thay lekin aaj bil-akhir dono Telugu reyaston Telangana  aur Andhra Pradesh  mein covid-19 ke aazmaishi teekay dainay ka amal shuru hua hai.

Riyasat ke dar-ul-hukoomat hyderabad ke Health care center Nampally, tilak nagar mein primaray health center, somajiguda mein waqay Yashoda hospital mein yeh teekay diye gaye. Isi tarhan zila mehboob nagar ke janum pait primaray health  center, zila mstqr ke hospital, Nehashaiyan  hospital mein yeh aazmaishi teekay diye gaye. Har ek markaz mein 25 taa 30 tibbi amlah, aam shehrion ka intikhab karte hue yeh programme munaqid kiya gaya.

Corona teekay lainay ke liye mukhtalif marahil se guzarnay walay ki tafseelaat ka online indraaj kiya gaya. Covid-19 ke teeka ke silsila mein Intelligence network software ki tarbiyat haasil karne walon ne tibbi amlah ko yeh teekay diye.

Gandhi hospital mein director of medical education Dr K.ramesh reddy ne teeka andazi muhim ki nigrani ki. Unhon ne is mauqa par kaha ke teeka andazi ke liye amlah ko khusoosi tarbiyat di gayi hai. is aazmaishi teeka ki muhim se teeka andazi ke nizaam mein naqais ko dorkrne mein madad mileygi. Is waqt taqreeban 10000 nigehdasht sehat ke mulazmeen ko tarbiyat di gayi hai.

Alawa azeen AP ke 13 azlaa mein yeh aazmaishi teekay diye gaye. Tibbi amlah ka intikhab karte hue unko yeh teekay diye gaye. qabal azeen is silsila mein un mulazmeen ko SMS rawana karte hue ittila di gayi thi. Baqi azlaa samait zila karishna mein bhi aazmaishi teekay diye gaye. har zila mastqar mein laazmi tor par ek markaz bananay ke iqdamaat kiye gaye.