Hyderabad : Telangana mein itwaar ko corona ke 1918 naye mamlaat aur 10 amwaat darj ki gayi hain. Is tarha riyasat mein is waba ke mamlaat ki jumla tadaad barh kar 66,677 hogayi hai. 10 afraad ki mout hogayi hai.
Is tarha riyasat mein is waba se marnay walon ki tadaad badh kar 540 hogayi hai. mehakma sahet aama wo khandani behbood ki janib se jari kardah bulletin mein kaha gaya ke is Telugu riyasat mein 18, sargaram mamlaat darj kiye gaye hain. 1088 afraad ruba sahet hokar riyasat ke mukhtalif aspatalon se dischage hogaye hain.
Is tarha riyasat mein ab tak 47,590 afraad roba sahet hue hain. is bulletin ke mutabiq GHMC ilaqa mein 517 naye mamlaat darj kiye gaye hain, nizaamabad mein 131, mehboobnagar mein 47, Medchal mein 146, Rangareddy mein 181, Warangal urban mein 138, sangareddy mein 89, khammam mein mamlaat darj kiye gaye hain.