Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderTelangana mein Corona ke 1764 naye mamlaat darj

Telangana mein Corona ke 1764 naye mamlaat darj

Hyderabad: Telangana mein guzashta 24 ghantoun ke douran Corona ke 1764 naye mamlaat darj kiye gaye hain. Is terhan riyasat mein jumla mamlaat ki tadaad 58,906 tak japuhnchi hai. 12 afraad ki mout huvi hai. Riyasat mein amwaat ki tadaad 492 hogayi hai. Director mehakma sahet aama-o-khandani behbood ki janib se jari kardah Media Bulletin ke mutabiq 3,97,939 namonon ki jaanch ki gayi. 43,751 afraad robah sahet hogaye.

Riyasat mein sargaram mamlaat ki tadaad 14,663 hai. Guzashta roz 18,858 namonon ki jaanch ki gayi aur 1764 naye mamlaat darj kiye gaye. Un mein 66 feesad mard hain jo Corona se mutasir huve hain. Un ki tadaad khawateen ke muqaabla ziyada hai. Is Bulletin ke mutabiq 509 naye mamlaat GHMC ilaqa mein darj kiye gaye hain. Zila Nalgonda mein 51, Nizamabad mein 47, Mehboob Nagar mein 47, Peddapally mein 44, Warangal Rural mein 41, Suryapet mein 38, Medchal mein 158, Ranga Reddy mein 147, Warangal Urban mein 138, SangaReddy mein 89 aur Khammam mein 69 naye mamlaat darj kiye gaye hain.