Sunday, April 28, 2024
HomeSliderTelangana mein Chicken, Anday mehangay hogaye

Telangana mein Chicken, Anday mehangay hogaye

Hyderabad: Murghi ziyada nahi udd nahi sakti lekin Murghi ki qeematein aasman ko zaroor chhoo layte hain. Telangana mein Chicken ki qeematein jo 200 rupay kilo ke neechay thi ek martaba phir par lagaakar aasman ki sair karne lagi hai. Ek mahinay mein qeematon mein kam az kam 50 rupay fi kilo izafah huwa hai. Aisi terhan andon ki qeemat mein bhi izafah huwa hai. Guzashta rooz ek kilo murghi 260 rupay mein farokht huvi. Is ki wajah logon ki taraf se murghi aur andon ke istemaal mein izafah karna hai taakay wo coronavirus ke khilaaf qowat mudafat ko behtar bana saken. Mazeed yeh ke Doctors ne mareezon ko bhi murghi aur anday khanay ka mashwara diya hai.

Chicken Outlets ke malikaan ne kaha hai ke loog ab haftay mein 2 ya 3 baar baqaidagi se Chicken ka istemaal kar rahay hain. Covid se pehlay yeh khandan haftay mein sirf ek martaba murghi khatay thay. Murghi, Andon ke ilawa, Machhli aur gosht ki farokht mein izafah huwa hai aur farokht ab chouti ki satah tak pahonch gayi hai. Rozana andon ki farokht 2 crore rakhi jati hai jabkay wabai bemari phelnay se pehlay 1.80 lakh thi. Retails mandi mein ek anday ki qeemat 5 rupay se badh kar 6 rupay hogayi hai. Telangana Poultry Federation ke reyasti sadar Pradeep Rao ne tabsarah kiya hai ke murghi aur andon ki badhti hui maang ek earzi bartao hoga.

Yaad rahay ke Coronavirus se mutasir honay walay afraad ko doctors ki janib se anda, Murghi aur majhli ziyada istemaal karne ki hidaayat di jarahi hai, Yeh hi wajah hai ke jahan corona se mutasirah afraad ko murghi aur andon ka ziyada istemaal kar rahay hain. Alawa azeen jo loog Corona se mutasir nahi hai woh bhi apni qowat mudafat ko taaqat war bananay ke liye murg khizaon ka istemaal karne ke ilawa andon ka ziyada ista-aal kar rahay hain.