Monday, April 21, 2025
HomeSliderTelangana mein barish ke baais pani ki sata mein izafah

Telangana mein barish ke baais pani ki sata mein izafah

Hyderabad: Rawan aabi saal khaas tor par Telangana ke liye acha raha hai jabkay 2019 mein isi arsa ke douran honay wali barish ke muqablay August ke aakhir tak riyasat mein 40 feesad ziyada barish huvi hai. Riyasat ke 33 azlaa mein se 23 azlaa ne yeh ittila di hai izafi barish hui jis mein khasaray ka saamna nahi huwa. 589 Mandalon mein se 370 mein ziyada barish hui, 193 mein mamooli barish hui aur sirf 26 mein khasaray ki barish hui hai.

Riyasat Telangana mein zameeni pani ko dobarah charge karne ka asal zareya barish hai. Riyasat mein majmoi tor par 31 August tak 830.50 mile meter barish hui, Jabkay mamooli barish 592.60 mile meter thi. Junoob maghribi Monsoon ne barish ka 79 feesad hissa ada kar diya jabkay shumal mashriq mein 14 feesad aur baqi mousamoo ke douran baarisho ke sabab bani rahi.

State Ground Water Department jo 957 Piezometers ki madad se zair-e-zamin pani ki satah par nazar rakhta hai is ne ittila di hai ke August 2020 ke douran riyasat mein zameeni satah ki osat satah mein hosla afzaa 4.80 meter izafah huwa jis ki miqdaar 310 TMC hogayi. Tajzia se yeh baat samnay aati hai ke August taa 2020 ke douran riyasat mein zameeni satah ki osat satah ( MBGL ) se 6.35 meter neechay thi, Jo saal 2019 mein isi maheena ke douran 11.15 MBGL ke muqablay mein ek sayahat mand izafah hai jis mein 4.80 meter ka izafah dekhaya gaya hai.