Hyderabad: Wasee pemane par Secuirty intizamaa ke darmain Charshumbe ko riyasat Telangana mein baldeati intikhabaat ke liye voting jari hai. Riyasat bhar mein 120 Municipality aur 9 municipal Corporation mein subah 7 bajey se voting shuru hui aur shaam 5 bajey tak jari rahay gi .
53.37 lakh voters Municipal Corporation ke 325 Councilor ke liye aur 2,727 Councilor ke intikhab ke liye Vote daalne ke ahal hain. Jabkay 3,052 Wardoun mein intikhabaat ke liye Notification jari kiya gaya tha, 81 Wardoun mein voting nahi hogi, Jahan mutafiqa tor par umeedwaroun ka intikhab kiya gaya tha.
Baldeati intikhabaat mein majmoi tor par 1,746 ummedwar Muncipal Corporation ke liye maidan mein hain, Jabkay 11,099 umeed waar Municipality ke liye apni siyasi qismat aazma rahay hain. Reyasti Election Commissioner V. Nagi Reddy ne bataya ke 9 Municipal Corporation mein ek hazaar 438 Poling Station aur 120 baldiyat mein 6,325 Polling Station qaim kiye gaye hain. Polling stationoun par taqreeban 45,000 polling ahelkaar ko tainaat kiya gaya hai.
Azadana o munsifana raye dahi ko yakeeni banane ke liye hakkaam ko yakeeni banane ke liye hakkaam ne hifazati intizamaa ke liye 50,000 police ahelkaar tainaat kiye gaye hain. Hukoomat ne un ilaaqoun mein tateel ka elaan kiya hai jahan charshumbe ko voting ho rahi hai. Reyasti Election commission ( SEC ) ke ohdedar 2,406 polling stationoun mein web casting ke zariye voting ki nigrani ki ja rahi hai. Jabkay 2,072 marakaz mein polling ke amal ki video Graphy ki ja rahi hai.
Mulk mein pehli baar, ( Reyasti Election Commission )SEC, Jaali voting ko roknay ke liye ”Face Recognition App ( Chehra Shanakht App ) ka istemaal kar rahay hain. Aur mazkoorah App ka istemaal Medchal, Malkajgiri, Zila Kompally baldia ke tehat 10 polling stationoun mein kiya ja raha hai. Riyasat mein pichlle saal banaye gaye 73 naye baldiyat mein se 68 baldiyat mein pehli baar intikhabaat munaqqid ho rahay hain. khawateen ko tamam shehri idaroun mein 50% Reservation milega.
Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) aur 10 deegar shehri baldeati idaroun mein intikhabaat nahi ho rahay hain, Kyunkay un ki miyad abhi khatam nahi hui hai. Karimnagar Municipal Corporation ke liye 24 January ko voting hogi.
Hukmaran Telangana Rashtra Samiti ( TRS ) ne tamam municipal wardoun mein umeed waar khaday kiye hain. Markazi ahem jamaten, Congress aur BJP bhi beshtar wardoun mein hissa le rahi hain. AIMIM ne 276 Wardoun mein umeedar khaday kiye hain. –YTN STAFF