Sunday, May 19, 2024
HomeSliderTelangana mein 82 dinon ki barish, Mehakma mosmiyat ki kayi pesh qasiyan...

Telangana mein 82 dinon ki barish, Mehakma mosmiyat ki kayi pesh qasiyan ghalat saabit huven

Hyderabad: Is saal Mansoon mein riyasat Telangana mein ghayr-maa’mooli barish huvi hai jo guzashta 33 baras pehlay honay wali barish se kahin ziyada behtar hai. Sab se achi baat yeh hai ke 122 din ki muddat mein yani yakam June se 30 September tak riyasat Telangana mein 82 din ke ziyada tar ilaqon mein barish huvi hai. Guzashta 33 saal se mutaliq barish ke Record par ek nazar daalnay se pata chalta hai ke Mansoon ke mausam mein sirf 2010 mein barish 81 din mein huvi thi. 2006 mein, Osatan 14.1 millimeter barish hui jabkay rawan Season ke douran 13.2 millimeter barish huvi hai.

Riyasat mein ab tak 1102 millimeter barish hochuki hai, Jo 759.6 Millimeter mamool ki barish se 45 feesad ziyada hai, Jo 1989 ke Record ko toad kar guzashta sab se ziyada 832 millimeter barish ka Record benachuki hai. Mojooda Monsoon season ke douran kam az kam no kam Pressure walay ilaqay jo Bengal ki khaleej mein tashkeel paye hain. Ek kam dabao wala ilaqa June aur July mein samandar mein tashkeel paaya tha. Isi terhan 5 August ko aur 2 September mein tashkeel paaya tha. IMD ke Science daan shadeed barish ke namoonay ko mahol ki sorat-e-haal mein runuma honay wali tabdeelion ki wajah qarar dete hain. Aam tor par IMD Monsoon ke aaghaz se qabal April aur May mein intekhabaat jari karta hai. Is saal intekhabat ki roshni mein yeh haqayiq samnay aaye hain ke riyasat mein 8 feesad ziyada ya kam barish hogi lekin un pesh qayasin ko ghalat saabit karte hue Telangana mein 45 feesad ziyada barish huvi.

Riyasat mein osatan 45 feesad ziyada barish hui lekin kuch azlaa mein 130 feesad ziyada barish Record ki gayi. Zila Warangal Urban mein 1,535.7 Millimeter barish Record ki gayi, Jo aam tor par 668.2 millimeter barish se 130 feesad ziyada hai. Wanaparthy mein izafi barish 126 feesad Record ki gayi jabkay Siddipet mein 93 feesad ziyada barish record ki gayi. Zila Mehboobabad mein 106 feesad ziyada barish huvi. IMD ke mutabiq sirf nadar maoqe par hi 100 feesad ziyada barish hoti hai.