Thursday, May 9, 2024
HomeSliderTelangana mein 50 hazaar jayedadon par taqarurat ke liye anqareeb aalamia

Telangana mein 50 hazaar jayedadon par taqarurat ke liye anqareeb aalamia

Hyderabad: Telangana ke chief minister KCR ne elaan kiya ke asaateza, police aur deegar ohdon ki Makhlua jayidadon par bharti ke liye jald hi aalamia jari kardiye jayenge taakay poori riyasat mein 50 hazaar ke qareeb Makhlua jayidadon ko pur kiya jasakay jo khaali hon.

Chief minister ne chief secretary Somesh kumar ko hidaayat di ke woh riyasat bhar ke tamam mehakmon mein mojood khaali jayidadon ki fehristein akhatta karen. Unhon ne kaha ke bunyadi maloomat se pata chaltahe ke riyasat mein mutadid mehakmon mein 50 hazaar ke qareeb jayidadin khaali hain hamein inhen pur karna hai.

Asatezaa aur police mein hazaron mein bharti karna padega. asatezaa, police aur deegar mehakmon mein khaali jayidadon ke baray mein tafseelaat akhatta karen. hisaab kitaab karen. chief minister ne hidaayat di ke kin mehakmon ke liye kitney mulazmeen ki zaroorat hai. khaali jayedadon ki tadaad milnay ke baad un jayidadon ko pur karne ke liye aalamia jari kiye jayen. Wazeh rahay ke June 2014 mein riyasat Telangana ki tashkeel se hi riyasat mein taqarurat ka amal sust raftaar se chal raha hai. Agarchay riyasat ke qiyam ke fori baad Telangana state public service commission ( TSPSC ) tashkeel diya gaya tha mukhtalif sarkari mehakmon mein taqarurat hue, woh sirf 36758 khaali jayidadon ko hi pur kar sakay aur guzashta 6 saloun mein 35724 jayidadin khaali hui hain.

June 2014 mein riyasat Telangana ke pehlay cheif minister ki hesiyat se zimma dariyan sambhalay ke foran baad hi KCR ne qanoon saaz assembly mein kaha tha ke mukhtalif sarkari mehakmon mein taqreeban 1.08 laakh jayidadin khaali hain jo ek saal ke under pur ki jayengi. Taham yeh 6 saal guzarnay ke baad bhi yeh jayidadin hanooz khaali hain hain. TSPSC ki taraf se jari kardah bhartion ke baray mein kuch aalamia qanooni pechidgion ki nazar hogaye, jis ne is saaray amal mein mazeed takheer kardi. Is se talba aur nojawanon mein TRS hukoomat ke khilaaf narazgi phail gayi hai.

Dubbak assembly zimni intikhab aur GHMC intikhabaat mein TRS ki haliya nakamiyoo ne TRS hukoomat ke khilaaf talba aur noujawanon mein shaded gham wo gussa ka Mazhar hai. Is pas manzar mein lagta hai ke KCR ne aakhir kaar talba aur nojawanon se rabita qaim karne ke liye mukhtalif mehakmon mein hazaron jayidadon par taqarurat ke liye aalamia jari karne par tawaja markooz karli hai.
.