Friday, May 17, 2024
HomeSliderTelangana kya Corona se ladnay ke qabil hai

Telangana kya Corona se ladnay ke qabil hai

Sarkari dawakhanoun mein sirf 335 Beds, Universities aur Sports Village ko dawakhanoun mein tabdeel karne ka mansoobah

Hyderabad: Riyasat Telangana mein Coronavirus ki mareezoun ki tadaad har guzarte din ke sath badh rahi hai jis ke baad awam mein ek qisam ka khauf bhi paaya ja raha hai halaank hukoomat is mohlik waba ku phelnay se roknay ke alawa Coronavirus se mutasir mareezoun ke ilaaj ke liye behtar iqdamaat kar rahi hai. Coronavirus ke mareezoun ki tadaad bhedne ke sath awam mein ye sawal bhi apni ahmiyat ko zahir kar raha hai ke kya riyasat is wabai marz ke khilaaf muasar iqdamaat karne ki ahal hai.

Kya Talangana mein aisi sahuliyaat aur zurori Medical alaat mojood hain jo ke Coronavirus par qaboo panay mein muasar saabit hongi. Karimnagar mein Coronavirus ke mutadid mareezoun ki ek din mein hi towseeq honay ke baad saaray ilaqa ko Lockdown kardiya gaya tha aur arbab majaz ko sakht halaat ka saamna karna pada tha. Karimnagar ke halaat ko dekh kar ye khadsha peda horaha hai ke Telangana riyasat mein agar fori tor par ye waba taizi se phailna shuru hogayi to mareezoun ke ilaaj ke liye sahuliyaat kiya hain.

Riyasat Telangana ke 3 sarkari dawakhanoun mein 335 Beds mojood hain lekin jis terhan se ye Coronavirus phail raha hai is ki wajah se khadshaat peda ho rahay hain ke halaat ko qaboo karna aasaan nahi hoga lekin hukoomat ne faisla kiya hai ke Quarantine ke liye sarkari dawakhanoun ke baad Double Bedroom ke makanaat, Sports Village aur har wo sahuliyaat ka istemaal kere gi jis se is mohlik marz par qaboo paaya jasakay. Filhaal Gandhi dawakhana aur SRRIT and CD Hospital mein 40 Beds mojood hain jabkay TB and Chest Hospital mein 20 Beds dastyab hain. Osmania dawakhana mein 10 Beds dastyab hain. Is ke alawa Khammam, Karimnagar, Nizamabad, Mehboob Nagar, Nalgonda, Siddipet, Surypet aur Adilabad ke dawakhanoun mein 25 besteroun ke dwakhane mojood hain jo kay Coronavirus ke mareezoun ke liye Quarantine marakaz saabit ho saktay hain.

Bavsoq zaraye ne kaha hai ke Gandhi dawakhana ke deegar shoba jaat ko dosray maqam par muntaqil kiya ja bhi sakta hai taakay Gandhi Hospital ko mukammal tor par Coronavirus ke mareezoun ke ilaaj ke liye Quarantine mein tabdeel kiya jasakay. Gandhi dawakhana mein 1200 Beds dastyab hain jis mein mazeed 30 Beds ki mah Feb mein towsee ki gayi hai. Alawa azeen mareezoun ki tadaad bhadne ki soorat mein is mein mazeed 100 bisteroun ka izafah kiya ja sakta hai. Zaroorat padney par Gachibawli Stadium ke Sports Village ke alawa Universities ko bhi Quarantine ke marakaz mein tabdeel kiya ja sakta hai. –YTN STAFF