Saturday, May 4, 2024
HomeSliderTelangana ko Hindustan Innovation index mein choutha maqam

Telangana ko Hindustan Innovation index mein choutha maqam

Hyderabad: Telangana jo mulk mein sab se nai riyasat hai jo sirf saat saal pehlay wujood mein aayi hai lekin is ne tamam badey aur ziyada ahem reyaston ko maat di hai.

Mukhtalif mahazon par Telangana ke shandaar taraqqi ki taaza tareen misaal is ki darja bandi hai jaisa ke usay karkardagi mein choutha maqam mila hai. Ahem reyaston ke zamray ke tehat NITI aayog ke zareya jari kardah Hindustan Innovation index report mein Telangana riyasat ne kayi ahem reyaston ko maat dete hue choutha maqam haasil karliya hai.

India Innovation index Niti Aayog membar Dr VK sarswat ne kaha hai ke mulk ke ikhtira manzrname ko qaumi satah par paish karta hai ko bhi ujagar kya jata hai taakay unki islaah ki jasakay.

Dr saraswat  ne is report ke hawalay se kaha ye index reyaston ko un shobo ki nishandahi karne mein aur unki salahiyaton ka andaza karne mein bhi madad fraham karega jo jiddat Tarazi se chalne wali tijarti salahiyat ki taraqur companiyon ko Raghib karne ki salahiyat rakhtay hain.

Jiddat Tarazi index paanch sutonon par mabni hai  insani sarmaye, sarmaya kaari, ilm karkunaan, karobari mahol aur hifazat aur qanooni mahol. Uskay alawa do muzahiron ke lehaaz se do ahem sutoon ilm ki aur paidawar ka phelao hain. guzashta saat saal mein cheif minister KCR ki sarbarahi mein riyasat sahih simt mein gamzan hai, un saat paimaanon mein Telangana ki janib se haasil ki jane wali darja bandi se zahir hota hai  ke riyasat sahih simt gamzan hai.