Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsTelangana ki khawateen youmiya 30 Rupay ki mazdoori par majboor

Telangana ki khawateen youmiya 30 Rupay ki mazdoori par majboor

Hyderabad : Ek janib hum dostoun ke sath hotel mein baith kar chand ghantoun mein senkdoun rupay kharch kardete hain to doosri janib ek waqt ki Roti haasil karne ke liye din bhar khetoun mein kaam karne ke baad khatoon mazdooroun ko  yomiya 30 rupay hi mil rahay hain jo kay ek khandan ke liye ki zaroriat poori karne ka wahid zareya hai.

zarayi shoba mein mazdooroun ki halaanke achi khasi maang hai iske bawajood riyasat Telangana ke zila Nalgonda mein ek aisa waqea paish aaya jahan khet mein kaam karne ke liye pandrah mazdooroun ki zaroorat thi lekin ke ujrat ki umeed mein 100 khawateen mazdoori ke liye pohanchi. aam tor par Khetoun mein kaam karne walay mazdooroun ko yomiya 200 taa 500 Rupay mazdoori faraham ki jati hai aur jab mazdooroun ki kami ho to unki ujrat mein mazeed izafah hota hai.

Khatoon mazdoor ko ek din ki ujrat 200 taa 300 rupay faraham ki jati hai lekin Nalgonda zila ke matkor mandal ke Bodi Chedu gaoun mein ek khet mein kaam karne ke liye 15 khawateen ki zaroorat thi aur guzashta kayi dinon se ujrat aur aamdani nah honay ki wajah se kaam ki talaash mein yahan 100 khawateen pohanchi jabkay Ajir ko apne khet mein kaam karne ke liye sirf 15 khawateen ki zaroorat thi aur woh is kaam ke liye teen hazaar rupay ujrat dena chahta tha lekin is nay khawateen ki zaroorat ke paish e nazar tamam khawateen ko fee kas 30 rupay ujrat ki bunyaad par par kaam day diya .

Is waqea ka social media par video kaafi viral hua hai jis mein kayi afraad ney Ajir par tanqeed ki to doosri janib ek gosha nay is ki sataish bhi ki kyunkay bhaley hi ek khatoon mazdooroun ko tees rupay haasil hue hain lekin tamam 100 khawateen ko kuch nah kuch paison ka intizam to zaroor hua hai. riyasat Telangana ke ke dur daraz dehaton mein awam ko aam zindagi guzaarne ke liye bhi jin mushkilaat ka saamna karna pad raha hai iski yeh ek jeeti jaagti misaal hai aur hukoomat Telangana ko is taraf fouri tavajja mabzol karne ki zaroorat hai taakay dehi ilaaqon mein rozgaar paeda kiya jasakay kyunkay Nalgonda ka yeh waqea hukoomat ko khawab ghaflat se jaganay ke liye kaafi hai aur rah bitanay ke liye bhi kaafi hai ke kis tarhan dehi ilaaqon mein aam zindagi masail ka shikaar hai aur ghareeb awam do waqt ki roti ke husool ke liye bhi mushkilaat ka saamna kar rahay hain. –YTN STAFF