Friday, May 17, 2024
HomeSliderTelangana ki Eid-Gahoun aur ahem Masajid mein Eid ki Namaz nahi hogi

Telangana ki Eid-Gahoun aur ahem Masajid mein Eid ki Namaz nahi hogi

Hyderabad: Eid Al-Adha ke mauqa par jaria saal Telangana ki ahem Masajid aur Eid-Gahoun mein Eid ki Namaz nahi hogi. Riyasat bhar mein hafta ko Eid Al-Adha manayi jarahi hai. Reyasti wazeer-e-dakhila Mohammad Mahmood Ali ney awam-Un-naas se Appeal ki hai ke wo apne gharoun ya phir mohalla ki Masajid mein Eid ki Namaz ada karen.

Apne Video payam mein unhoun ne Masajid ko Eid ki Namaz ke liye janay walon se khawhish ki ke wo samaji faasla ko barqarar rakhen kyunkay ye in dinon kaafi zurori hai. Samaji faasla ko barqarar nah rakhnay ke nateeja mein Corona ke waqeat mein izafah hota jaraha hai. Unhoun ne elaan kiya ke jis terhan Eid Al Fittar ke mauqa par Eid-Gahoun mein Namaz Eid ada nahi ki gayi thi, Isi terhan is Eid ko bhi Eid-Gahoun mein Namaz ada ahtihyat ke tour par ada nahi ki jaye gi.

Unhoun ne wazeh kiya ke logon ke barray ijtima ki wajah se corona ke mamlaat ke phelnay ka khadsha hai. Isi liye ye faisla sahet aama ke pesh-e-nazar kiya gaya hai. Awam ko chahiye ke wo is silsila mein taawun karen. Unhoun ne sath hi awam se khawhish ki ke wo hukoomat ki Policies par amal karen, Apne haath dhoney ke liye Sanitizers ka istemaal karen. Wazeer Mosoof ne sath hi ye bhi Appeal ki ke qurbani ke mauqa par qasai ke sath samaji faasla barqarar rakha jaye. Sath hi gosht ki taqseem ke mauqa par bhi is ko yakeeni banaya jaye.