Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsTelangana ki 17 Lok Sabha nishitoun ke liye 700 se ziyada Namzadgiyan...

Telangana ki 17 Lok Sabha nishitoun ke liye 700 se ziyada Namzadgiyan ki gayeen daakhil

Hyderabad: Riyasat Telangana ki sabhi 17 Lok Sabha nishitoun ke liye 11 April ko ho ne ja rahay intekhabaat ke liye700 se ziyada umeedwaroun ney parcha namzadgi daakhil kiya hai. Peer ko namzadgi daakhil karne ka aakhri din tha.

Un unmidwaaron mein 200 se ziyada Kisaan Shaamil hain, Jinhon ney Nizamabad nashist se apni namzadgiyan daakhil ki hain. Jahan se Wazir e Aala Telangana K Chandrashekhar Rao ki Dukhtar K Kavitha doosri baar intekhab lad rahi hain. Un mein se ziyada tar Kisaanon ney namzadgi daakhil karne ke aakhri din apne kaghzat jama kiye.

Chief Election Officer (CEO) Rajath Kumar ney kaha ke Nizamabad mein 245 namzadgiyan mousool ho yi hain. Agar umeedwarounki tadaad 90 se ziyada ho to raye dahi ke liye (Ballot Papers)  ka istemaal kiya jaye ga. Unhon ney is baat se inkaar kiya ke Kisaanon se namzadgi haasil karne mein kisi qisam ki qawaneen ki khilaaf warzi nahi ki gayi thi.

Apne parcha namzadgi daakhil karne walay umeedwarounmein Telangana Pradesh Congress ke saddar Uttam Kumar Reddy (Nalgonda), Kul Hind Majlis Ittehadul Muslimeen ke Sadar Asaduddin Owaisi (Hyderabad) aur Sabiq markazi Wazir aur Congress Leader Renuka Chowdhury (Khammam) Shamil hain.

Namzadgiyon ki jaanch 26 March ko ki jaye gi. Jabkay namzadgi wapas lainey ki aakhri tareekh 28 March hai. 11 April ko raye dahi ho gi aur 23 May ko raye shumari ho gi.

Chief Election Officer (CEO) Rajath Kumar ney kaha ke riyasat Telangana mein Kul 2,96,97,269 raydahinde hain, Jin main 1, 49,19,751 Mard aur 1,47,76,024 khawateen aur 1504 deegar shaamil hain.

 

 

Y THIS NEWS STAFF