Hyderabad: Awaami masail ke hal ke liye ab Telangana ke zila Mehboob Nagar mein logoun ko ek jagah se doosri jagah bhatakne ki zaroorat nahi rahi kyunkay ab logoun ke paas apne masail se ohdedaroun ko waaqif karwanay ke liye Cell phone, WhatsApp ka hona kaafi hai. Zila intizamia ki janib se paiir se online awaami masail ke hal ko yakeeni banaya jaye ga. Loog phone ke zareya apne masail, Shikayaat, Ohdedaroun tak pouncha satke hain. Zaroorat padney par Video Call ke zareya bhi baat karte hue masail se waaqif karwaya jasakta hai.
Coronavirus ki wajah se logoun mein khauf ki kefiyat payi jati hai. Lockdown ki wajah se Praja Vani programme ko multawi kiya gaya tha jis ki wajah se awaami masail ke hal mein dushwariyan horahee theen. Is ke pesh e nazar ba zarea Online awaami masail ke hal ke liye zila intizamia ki janib se iqdamaat kiye gaye hain. Collector Venkat Rao ki hidayat par Digital tareeqa se Praj Vani Programme munaqqid karne ki tayyariyan ki jarahi hain. Is programme ke zareya awaami masail ohdedaroun ko beje jarahay hain.
Masail ki sangini ke lehaaz se zila, Division, Mandal ki satah ke ohdedaroun ke sath Video Conference ke zareya baat cheet ki sahoolat faraham ki jaye gi. Ye sahoolat paiir ko 11 bajey din se 12 bajey dopehar tak hi dastyab rahay gi. Muqarara waqt par zila, Mandal, Division ki satah ke ohdedar online dastyab rahen ge. Awam se wusool honay wali shikayaat ka indraaj kiya jaye ga. Ye bhi is Register mai lekha jayega ke mutaliqa ohdedar ney kitney din mein kisi makhsoos masla ko hal kiya hai.