Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsTelangana Ke Siyasi Qaideen Ne ”Chinnamma “ Ke Dehant Par Kiya Izhar-E-Taaziyat

Telangana Ke Siyasi Qaideen Ne ”Chinnamma “ Ke Dehant Par Kiya Izhar-E-Taaziyat

Hyderabad : Telangana ke mukhtalif siyasi qaideen ne Sushma Swaraj ke dehant par izhaar-e-taaziyat kiya aur unki khidmaat ko yaad kiya. sabiq wazeer-e-kharja Sushma Swaraj jo mangal ki raat chal baseen khud ko Telangana ki ”Chinamma “kehne par fakhr mehsoos karti theen. is waqt ke Lok sabha mein opposition leader ki haesiyat se unhon ne Telangana riyasat ke qiyam ke liye bill Manzoor karwane mein kaledi kirdaar ada kiya tha.

Jab congress ke rehnuma Andhra pradesh ki tashkeel ke liye party sadar Sonia gandhi ko Telangana ki ”Amma“ ( Maa ) ke tor par paish kar rahay they to, Sushma Swaraj ne khud ko Telangana ki ”Chinamma “ ( maa ki choti behan ) kaha tha.

Unhon ne parliment mein Andhra Pradesh tanzeem no act 2014 ko Manzoor karne ke foran baad hi Telangana ke logoun ko bataya tha ke ”barahe karam Telangana riyasat ke husool mein nah sirf is amma ( Sonia gandhi ) balkay is Chinamma  ki shiraakat ko bhi yaad rakhen.

2017 mein hyderabad mein munaqidah aalmi entrepreneurship summit mein, is waqt ke wazeer baraye umoor kharja ki hesiyat se Sushma Swaraj ne apna numainda muta-arif karaya tha.

BJP rehnumao ne Telangana tehreek mein unki himayat ko yaad kiya. unka daawa hai ke BJP ki himayat ne riyasat ki tashkeel ko yakheeni banaya hai. Sushma Swaraj ko Telangana riyasat ko haqeeqat bananay ke liye hamesha yaad rakha jayega. unhon ne na sirf is tehreek ko apna taawun diya balkay parliament mein bill ki manzoori ko bhi yakheeni banaya. Telangana riyasat ke BJP sarbarah ke laxman ne yeh baat kahi.

BJP rehnumao ne kaha ke Sushma Swaraj ne Telangana ke noujawanon se alehda riyasat ki tehreek ke douran khud kushi nah karne ki jazbati appeal ki thi. unhon ne himmat rakhnay aur Telangana ko haqeeqat bantay dekhnay ke liye zindah rehne ka mahswara dyatha. Wazeer-e-dakhla kishan reddy ne tweet kiya ke hum sab hamesha unke maqrooz rahenge.

Awaami wazeer ke tor par mashhoor, Sushma Swaraj ka Telangana ke logon ke sath bhi ek ahem talluq tha. wo hamesha khaleej aur dosray mumalik mein pareshani mein mubtala afraad ki darkhwaston ka jawab deti theen. woh hamesha social media par sargaram rehti theen.

Sabiq markazi wazeer Sushma Swaraj ke dehant par TRS ke car-guzaar sadar ne taaziyat ka izhaar kiya aur kaha ke ”Telangana ke awam riyasat ke qiyam ke liye unki himayat ko hamesha yaad rakhenge.

KTR ne mazeed kaha ke mai jab bhi unse mila, to unke istaqbaal ki garamjoshi ko dekh kar tareef kiya. woh ek sachhi rehnuma theen jinhon ne duniya mein kahin bhi hindustaniyoun ko takleef mein mubtala dekh kar un ki madad ki. –YTN STAFF