Friday, April 26, 2024
HomeOthersPublic InterestTelangana ke Siddipet mein Billi aur Kabootar ki misali dosti

Telangana ke Siddipet mein Billi aur Kabootar ki misali dosti

Siddipet: hum ney bachpan mein choohay aur Billi ki kayi kahaaniyon ko apni Dadi Maa se suna aur aisi kahaniyan padhi bhi taham ye ek anokhi kahani hai jis ney tamam ko herat se dochar kardiya hai. Kayi afraad kaya ehsas hai ke Billi ka rasta kaatna un ke liye badshukun hota hai aur wo is se bachney ki koshish karte hain taham Telangana ke Siddipet zila mein Billi aur kabootar ki dosti ki kahani tamam ko apni janib raghib kar rahi hai jo un dono ko dekhnay ke liye arhay hain. Ye bandhan anokha aur misali hai. Dono hamesha ek dosray ke sath khail mein sargaram hotay hain. Un ko dekhnay walay kaafi herat zada hain. Pur jush afraad un ki jhalak par hai jo doosron ko un ki kahani ke baaray mein bata rahay hain.

Is Billi aur kabootar ke maalik Mahesh ka kehna hai ke dono is ke ghar main hi baday hue hain. Ye 8 mah ki billi, choohon ke peechay kabhi daurti hui nazar nahi aayi kyunkay is ko choohay khana pasand nahi hai. Wo khail mein kabhi kabootarr ko kabhi nuqsaan nahi pohanchati aur puranay doston ki terhan dono ek dosray ke sath khailtay hain. Jab un se ye poocha gaya ke ye Billi ghiza mein kya khati hai to unhoun nay nishandahi ki ke ye Billi Biscuits khati hai aur doodh peeti hai. Unhoun nay kaha kay Siddipet zila ke kayi ilaaqon se loog un dono ko dekhnay ke liye un ke ghar atay hain. Ye Roosi nasal ki Billi hai.