Friday, May 17, 2024
HomeSliderTelangana ke Jagtial zila ka worker Dubai mein phas gaya

Telangana ke Jagtial zila ka worker Dubai mein phas gaya

Hyderabad: Telangana ke Jagtial zila se talluq rakhnay wala ek worker Dubai mein guzashta 4 baras se phansa huwa hai. Pravasi Mithra Labour Union ke Volunteers ney is worker ki biwi ki rahnumai ki taakay wo collector se is talluq se numaindagi kar sakay. Is ki biwi ney Collector se ki gayi numaindagi mein is baat par zor diya ke is ke shohar ko is ke aabadi maqam wapas laane ko yakeeni banaya jaye. Is Jyothi nami khatoon ney kaha kay is ke shohar ka talluq zila Jagtial ke Dharmapuri  mandal ke Nakkalapeta  gaon se hai aur wo guzashta 4 baras se Dubai mein phansa huwa hai.

Jyothi ney kaha ke 30 July 2016 ku ek Agent ney is ke shohar ko Mumbai se Muscat work Visa rawana kiya jahan wo Al Turki nami company mein tameeri mazdoor ka kaam karta tha taham August 2016 main Contractor ney is ko ghair qanooni tour par Oman ki sarhad paar karwai jahan wo guzashta 4 saal se phansa huwa hai. Is se kaam nahi leya jaraha hai aur nah hi is ku tankha di jarahi hai. Wo kamrah ka kiraya bhi ada karnay ke muaqqaf mein nahi hai. Is khatoon ney collector par zor diya ke Dubai mein hindustani Consul se darkhwast ki jaye ke is ko earzi passport jari kiya jaye jis ke zareya is ki watan wapsi ko yakeeni banaya jaye.