Saturday, May 4, 2024
HomeSliderTelangana ke hazaroun Asateza taraqi ke hanooz muntazir

Telangana ke hazaroun Asateza taraqi ke hanooz muntazir

Hyderabad: Telangana reyasti hukoomat ne agarchay mulazmeen ko yaqeen dilaya hai ke January ke aakhir tak inhen taraqqi day di jayegi lekin ab jabkay mah feb ka bhi aaghaz hochuka hai lekin mehakma taleem ki janib se mulazmeen ko taraqqi dainay ka yeh amal shuru nahi hua hai. 20 hazaar ke qareeb Asateza be sabri se un ki tarqiyon ka intezar kar rahe hain. Pichle saadhay paanch saal mein Asateza ke liye koi taraqqi nahi hui hai. Asateza ko taraqqi dainay ke baad makhlua jayidadon ko DSC ke zariye pur kiya jasakta hai. Iska matlab hai ke ek martaba mojooda Asateza ko taraqqi di jane ke baad reyasti hukoomat kam az kam 20 hazaar naye Asateza ki bharti ki ja sakti hai.

Is zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue uphdaya poorat singhala uphdaya committee ( UPSC) ke jangaya ne kaha reyasti hukoomat ne mutafiqa khidmat ke usoolon, naye azlaa ki tashkeel aur deegar wajohaat ka hawala dete hue Asateza ko taraqqi dena band kardiya. JACTO ke G suda anand goud ne Kaha ke mutadid Asateza taraqqi ke baghair apni khidmaat se subukdosh hogaye hain. USPC aur JACTO ne kaha hai ke head masters ke sath sarkari schooloun mein mazameen mein maahirat rakhnay walay Asateza ki bhi kami hai.

Telangana state united teacher federation ke general secretary Rawichava  ne hukoomat se mutalba kiya ke woh tamam azlaa mein Asateza ko taraqqi dainay ke schedule ka elaan kare. Ravi ne kaha ke agar taraqqi dainay ka koi imkaan nahi tha to usay aayed haike promotion dena chahiye. UPC aur JACTO ne chief minister ko ek khat bhaij kar unse yeh amal shuru karne ki darkhwast ki.

USPC aur JACTO ne nishandahi ki ke 10479 panditon, jinki postoun ko school assitants mein upgrade kiya gaya tha unko taraqqi nahi mili.