Saturday, April 27, 2024
HomeSliderTelangana ke dawakhano mein corona ke 90 feesad bistar khaali

Telangana ke dawakhano mein corona ke 90 feesad bistar khaali

Hyderabad: Haliya dinoun mein yeh afwahen gasht kar rahi thi ke GHMC intikhabaat ke baad hyderabad mein lockdown nafiz kardiya jayega aur had to yeh hogayi thi ke chand whatsapp groups mein TV news ke puranay videos bhi post kar diye gaye thay ke hyderabad mein raat ka curfew nafiz kardiya gaya hai halaanke woh videos mah March ke douran honay wali tehdidat thi. Isi ke bar-aks haqeeqat kuch aur hai kyunkay is waqt Telangana mein corona ka marz na sirf qaboo mein hain balkay dawakhano mein 90 feesad bistar khaali parre hain yani corona ke marz ka shikaar honay walay afraad se ziyada sehat mand afraad ki tadaad mein roz bah roz izafah ho raha hai.

Ohdedaron ne kaha ke riyasat mein covid mareezon ke ilaaj mualjay ki khidmaat fraham karne walay sarkari dawakhano mein 90 feesad se ziyada bistar khaali hain. Covid 19 ke mareezon ka ilaaj karne walay 61 sarkari dawakhano mein dastyab 8,561 bistro mein se, 7, 803 bistar khaali thay. un dawakhano mein sirf 758 afraad zair e ilaaj hain. isi terhan covid mareezon ka ilaaj karne walay 220 khangi dawakhano mein sirf 1, 304 bistaron par mareez hain. 8, 470 bistaron mein se 7,166 khaali hain. Riyasat ne guzashta 24 ghanton ke douran 682 naye waqeat report hue jis ke baad mareezon ki tadaad 2, 74,540 hogayi. Mazeed 3 afraad virus ki wajah se faut hogay, jis se halakaton ki tadaad 1, 477 hogayi.

Director public health and family welfare ke mutabiq amwaat ka 44.96 feesad covid ki wajah se hua hai jabkay baqi 55.04 feesad imtiazi sulooq ki wajah se hui hain. Telangana mein covid se sehat yab honay walay afraad ki wajah se rozana naye infection ki tadaad mein kami hoti chali gayi hai kyunkay sehat yabi ki sharah 96.65 feesad hogayi hai. greater hyderabad mein 119 naye mamlaat report hue. zila Malkajgiri, medchal dosray number padhe jahan 64 afraad corona ka shikaar hue hain, is ke baad rangareddy 47, Warangal 41, khammam 38, Nalgonda 31 aur kareemnagar 30 hain. Guzashta 24 ghanton ke douran 55,645 namonon ka tajurbah kiya gaya. Sarkari labs mein 53, 789 khangi labs mein 1,856 afraad ke namonon ka muaina hua hai iske sath hi majmoi maaynon ki tadaad 58, 68,233 hogayi.