Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderTelangana ke Basar mein apne tour par lockdown ka nifaz

Telangana ke Basar mein apne tour par lockdown ka nifaz

Nirmal: Telangana ke zila Nirmal ke Basar mandal markaz mein tajireen ki janib se apne tour par 8 din ke liye apne tour par lockdown nafiz kiya gaya hai. Grampanchayat ke ohdedaroun nay is khusos mein faisla kiya hai. Basar ke qareeb Maharashtra ke Dharmabad, Telangana ke Nizamabad mein Corona ke mamlaat mein izafah ke nateeja mein ye faisla kiya gaya hai.

Lockdown ke douran tamam qisam ki dukanat, Tijarti idaray band kardiye gaye hain. Gram panchayat ne is faisla ke silsila mein qarardad manzoor ki hai. Sharaab ki dukanat ke tamam deegar zurori ashya, Kirana ki dukanat subah 6 baje se 11 bajey tak hi khuli rahen gi. Gram panchayat ke ohdedaroun ne tamam afraad aur nojwanoun se is par amal karne ki Appeal ki hai.