Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderTelangana ka ek Worker Dubai mein 16 saal se phas gaya

Telangana ka ek Worker Dubai mein 16 saal se phas gaya

Hyderabad: Yaad dasht chali janey par Telangana ka ek worker guzashta 16 bursoun se Dubai mein phansa huwa hai. Kamareddy zila ke Domakonda mandal ke Chinthamanpalli gaon se talluq rakhnay wala Neela Yellaiah 2004 mein ek tamirati company mein kaam ke liye UAE gaya tha. Wo kuch dinoun tak theek tha. Taham kuch arsa ke baad is ne company chod di aur wo guzashta 16 bursoun se Dubai aur Sharjah mein mamooli mulaazmaten karte hue zindagi guzar raha hai. Corona waba ki sorat e haal ke pesh-e-nazar Jain Seva Mission se talluq rakhnay walay ek volunteer  Rupesh Mehta ki nazar Sharjah ke ilaqa mein naqal makani karne walay mazdooroun mein Ration ki taqseem ke mauqa par is par padi.

Mehta ne Dubai mein Hindustani Consul khanah ke zareya is ka earzi Passport haasil karne ki koshish ki taham earzi Passport isi waqt jari kiya jata hai jab koi shakhs apne puranay Passport ki tafseelaat faraham karta hai. Yellaiah  ke paas Seva tasweerai voter ID ke kuch bhi nahi hai. Rupesh ne is ke arkaan khandan se rabt paida karne ke liye Telangana ki parvasi Mitra Labor Union se madad ki khwahish ki. Unhoun ne sath hi is ke shawahid bhi jama karne ki khwahish ki. Parwasi Mitra tanzeem ke numaindoun ne Yellaiah ki biwi ko Hyderabad mein passport ke daftar laya jinhoun ne Passport Officer ku ek arzi pesh ki.

Yellaiah ki biwi ne apni arzi mein is ke shohar ke 2004 se pehlay Hyderabad mein jari Passport ke data base aur deegar tafseelaat ka pata chalanay ki khwahish ki. Is mauqa par Yellaiah ki biwi Rajavva ne kaha ke jab is ka shohar Yellaiah 16 saal pehlay Dubai gaya tha to is ki beti sirf 6 mah ki thi. Is ne kaha ke is ne yomiya ejrat par kaam karte hue apni beti ko bada kiya hai. Is ki beti ki bhi shadi hogayi hai aur is ko ek beta hai. Yellaiah ki biwi ne hukkaam se khwahish ki ke is ke shohar ko jald az jald Hindustan wapas layajaye.