Tuesday, July 8, 2025
HomeSliderTelangana Hukumat ka Juma ko taateel ka elaan

Telangana Hukumat ka Juma ko taateel ka elaan

Hyderabad. Hukoomat e Telangana ne sabiq Wazeer e Azam Atal Bihari Vajpayee ke dehaant aur kal un ki aakhri rusumaat ke paish e nazar buzurg rehnuma ke ehteraam mein jumma 17th August ko aam taateel ka elaan kya hai. Tamaam sarkari dafaatir, neem sarkari idaray, awaami shoba ke idaray, Corporations Boards, taleemi idaray waghera band rahen ge. Markazi Hukoomat ne pehlay hi 7 roza qaumi soug ka elaan kya hai. Iss dauran Qaumi Parcham nisf bulandi par lehrata rahay ga aur tamam tafrihi programmes mansookh kar diye gaye hain. Ibtida mein Telangana mein taateel ke talluq se uljhan payi jati thi chunkay sabiq Wazeer e Azam ke dehaant par Chief Secretary ki janib se Zila Collectors aur Commissioners of Police and Superintendents of Police ke liye jari kardah crash message mein sirf markazi hukoomat ki janib se elaan kardah qaumi soug ka hi tazkara kya gaya tha. Taham baad azan taateel ka elaan kya gaya jis ki ittila barsar e iqtedaar TRS ke tarjuman angrezi akhbar “Telangana Today’ aur Telugu News Channel ‘T News’ ke zareya tateel ke elaan ki khabar aam hui.