Saturday, May 18, 2024
HomeSliderTelangana hukoomat Rayalseema Irrigation Project ke khilaaf Supreme Court se rujoo

Telangana hukoomat Rayalseema Irrigation Project ke khilaaf Supreme Court se rujoo

Hyderabad: Telangana hukoomat AP hukoomat ke Rayalseema Lift Irrigation Project ke khilaaf Supreme court se rujoo hui. Hukoomat ne adalat-e-uzma se khwahish ki ke wo is project ke ehkaam mansookh kere aur tender ke amal ko bhi roka jaye. AP hukoomat is project ke zareya Srisalam Reservoir se dariya Krishna ke pani se istifada karna chahti hai. Wo is project ko jald shuru karna chahti hai. AP hukoomat jis ny qabal azeen is silsila mein ehkaam jari kiye ny tender ke amal ko shuru kardiya.

Telangana hukoomat ny is masla par Krishna River Management Board se shikayat ki aur kaha ke AP ki janib se is project ki shuruvaat se Telangana se shadeed na-insafi hogi aur is ka Ranga Reddy Project mutasir hoga. Telangana hukoomat ki arzi ki samaat karte hue board ny AP hukoomat ko hidaayat di thi ke wo baghair kisi qabal azeen ijazat ke koi naya project shuru nah kere. Markazi wizarat aabi wasail ny budh ko Apex council ke ijlaas ki tajweez rakhi thi taham wazeer-e-aala K Chandrashekhar Rao ny wazeh kardiya ke wo is ijlaas mein pehlay se tye shuda mukhtalif programs ki wajah se shareek nahi husake ge.

Wazeh rahay ke wazeer-e-aala K Chandrashekhar Rao ney AP hukoomat ney ek jaiza ijlaas ke douran is masla par adalat-e-uzma se rujoo honay ka faisla kiya tha. Riyasat ki asal Opposition congress ney guzashta roz reyasti hukoomat par is masla par nuqta cheeni ki thi. Reyasti party sarbarah Captain  Uttam Kumar Reddy  ney wazeer-e-aala ko ek khula maqtoob rawana karte hue un se khawahish ki thi ke wo padosi riyasat ko is project ki shuruvaat se rokay.