Thursday, May 22, 2025
HomeSliderTelangana hukoomat ne Singareni Collieries company ke mulazmeen ko 28 feesad...

Telangana hukoomat ne Singareni Collieries company ke mulazmeen ko 28 feesad ka hissedaar banane ka elaan kiya

Hyderabad : Telangana hukoomat ne jumeraat ko 2018-19 ke liye apne mulazmeen ko Singareni Collieries company limited ( SCCL ) ke munafe mein 28 feesad ki hissa daari dene ka elaan kiya.

Wazeer-e-aala K.Chandra Shekhar Rao ne reyasti assembly mein elaan kiya  ke fee mulazim ko 1,00,899 Rupay ka bonus mileyga, jo pichle saal ke bonus se 40,530 Rupay ziyada hai. unhon ne kaha ke yeh Telangana hukoomat ki janib SCCL ke mulazmeen ke liye Dusehra tehwar ka tohfa hai.

Company ne Telangana hukoomat aur markaz ki malkiat wali 51:49 equity ki bunyaad par 2018-19 ke douran 1,765 crore Rupay ka record munafe kamaya hai. 2017-18 mein. har karkun ko mazdooron ke sath ishtiraaq kardah 27 feesad munafe ke hissay ke tor par 60,369 Rupay diye gaye thay. yeh company jis mein 56,000 hazaar se ziyada mulazmeen hain, isne 2017-18 mein 1,212 crore Rupay ka khalis munafe haasil kiya .

KCR ne bataya ke 2013-14 mein 50.47 million ton koyla tayyar karne wali company mein har saal izafah horaha hai. 2018-19 mein koylay ki pedawar 64. 41 million ton ki record satah par aagai. khalis munafe 2013-14 mein 418 crore Rupay se badh kar 2018-19 mein 1,765 crore Rupay hogaya.

KCR ne kaha ke, Telangana ki taraqqi mein awaami shoba ka iqdaam ahem kirdaar ada kar raha hai. koylay ki paedawar, naqal wo hamal, farokht, munafe mein izafah, kaarobar mein izafah, sab Telangana hukumat ki mo-asar aur achi hukmarani ki alamat hain. yeh hum sab ke liye baais fakhr hai. –YTN STAFF