Monday, May 20, 2024
HomeSliderTelangana hukoomat nay naye muqam aur naye tareeqay se Youm-e-jamhooria taqreeb manayi

Telangana hukoomat nay naye muqam aur naye tareeqay se Youm-e-jamhooria taqreeb manayi

Hyderabad: Telangana  mein 71st  Youm-e-jamhooria taqreeb manayi gayi. ye taqreeb badey hi saada tareeqay se manayi gayi. aur is mein kaafi tabdeeli layi gayi. na to school ke bachon ke zariye March kiya aur na hi mehman ki taraf se parade ki salami li gayi, aur na hi koi saqafati taqrebaat munaqqid ki gayeen.

Pehlay Youm-e-jamhooria ki taqreeb Secunderabad ke parade ground mein munaqqid hoti thi, magar is baar shehar ke markaz mean reyasti assembly se mut-tasil tareekhi awaami park (public garden) mein is taqreeb ka ineqad kiya gaya .

Reyasti governor Tamilisai Soundarjan nay, wazeer-e-aala KCR, unki kabeena ke sathiyon aur aala ohdedaron ki moujoodgi mein qaumi parcham lahraya. Governor ki haesiyat se Iqtidaar sambhalne ke baad yeh Soundarjan ke liye yeh pehli Youm-e-jamhooria taqreeb thi. pehlay is taqreeb mein kam se kam 2 ghantay lagtay they, lekin is baar governor ki 25 minute ki taqreer ke sath hi sirf 35 minute mein ye taqreeb khatam ho gayi. parade mein sirf 5 dastay shaamil they.

Is se qabal Youm-e-jamhooria ki taqreeb Hyderabad ke chatween nizaam Meer mehboob Ali Khan nay 1846 mein hyderabad ke sab se qadeem park, public garden mein munaqqid ki thi. ye taqreeb jubilee hall mein munaqqid ki gayi thi. jisay fun taamer ka ek shahkaar mana jata hai.

Wazeer-e-aala KCR ke is faislay ke baad ke Youm-e-azaadi, Youm-e-jamhooria taqreeb aisi jagah par munaqqid ki jayen, jis se logon ko takleef na ho, taqreeb ke maqam ko tabdeel kiya gaya. saal 2014 mein riyasat Telangana ki tashkeel ke baad, rao nay ‫am azaadi ki parade ke muqam ko Telangana ke bhar poor saqafati virsay ko ujagar karne ke liye parade ground se tareekhi Golconda qilah muntaqil kardiya tha .

Youm-e-jamhooria parade mein is baar Telangana special police, fouj aur hindustani fazaiya ki sirf 5 teams shaamil theen. jabkay maazi mein, governor parade ground mein honay walay mutadid muqabloun mein shaamil parade ka jaiza lenay ke liye ek open taap gaadi mein kharray hotay they. aur is taqreeb mein mukhtalif shobo ke aala ohdedar bhi shareek hotay they.

Sath hi mukhtalif sarkari mehakmon ki mutadid jhankiiyan bhi shaamil rehti theen. war mukhtalif sarkari schoolon ke talba bhi hissa letay they. reyasti governor nay apni taqreer mein kaha ke Telangana nay apne wazeer-e-aala KCR ki qayadat mein be-shumaar challengon ka kamyabi se saamna kiya. unhon nay kaha ke ek qaleel muddat mein riyasat nay bohat se shobo mein kamyabi haasil ki aur poooray mulk ke liye ek misaal ban gayi.    –YTN STAFF