Hyderabad: Telangana high court ney jumaraat ko ek martaba phir Telangana Sacretarait ki qadeem imaartoun ke inhedam par lagai gayi rokk mein ek din ki towsee kar di. PL Vishweswara Rao nay adalat mein mafaad aama ki arzi daakhil karte hue adalat se anhdami karwai par rokk laganay ki khwahish ki thi aur Sacretarait ki imaartoun ke inhedam ke liye maholiyati manzoori ki khwahish ki thi. Aaj bench nay PCB aur reyasti maholiyati Authority ki report par adam itminan ka izhaar kiya. High court nay remark kiya ke un reports ko raast jawab diye baghair hoshyari ke sath tayar kiya gaya.
High court ney inhedam ke liye maholiyati manzoori ki zaroorat hai yanhin? Assistant Solicitor General ney high court ko bataya ke un ko markazi wizarat maholiyaat se is khusoos mein koi maloomat nahi mili hain. Unhoun ney adalat se un ko peer tak ka waqt dainay ki khwahish ki. Bench ney khayaal zahir kiya ke is marhala par markazi hukoomat ka rad-e-amal kaafi ahem hai. Adalat ney is maamla ki samaat peer tak ke liye multawi kar di.