Monday, May 20, 2024
HomeSliderTelangana high court ne RTC hadhtaal case mein samaat 15 october tak...

Telangana high court ne RTC hadhtaal case mein samaat 15 october tak multawi kardi

Hyderabad : Telangana high court ne jumeraat ko, TSRTC ki jari hadhtaal case ki samaat 15 october tak multawi kardi. TSRTC mulazmeen Union, reyasti hukoomat aur RTC intizamia ke officers ne apne dalail adalat ke samnay pesh kiye. unhon ne is muamlay mein apne counter bhi dair kardiye hain.

Mulazmeen ki union ki janib se is case ki Daleel dete hue senior advocate B.Rachna reddy ne high court ko bataya ke intizamia mutadid notices denay ke bawajood unke mutalibaat ko poooray nahi kar raha hai.

Unhon ne kaha ke hadhtaal karne ka unka maqsad logon ko pareshan karna nahi hai.

Road tansport corporation aur reyasti hukoomat ki janib se dalail pesh karte hue unke wakeel ne ilzaam lagaya ke union ke rehnumao ne inhen unke masail hal karne ke liye waqt nahi diya aur woh unki darkhwaston ko nazar andaaz karte hue ghair muayana muddat tak hadhtaal par chaley gaye.

Unhon ne kaha ke reyasti hukoomat ne 29 September ko senior IAS officer sunil sharma ki sarbarahi mein ek committee tashkeel di thi, jis mein un mutalibaat par ghour kiya jana tha. committee ke faislay se qabal hi mulazmeen hadhtal par chalay gaye. –YTN STAFF