Monday, May 20, 2024
HomeSliderTelangana high court ne, hadhtaali mulazmeen ki tankhwahein dene ki TSRTC ko...

Telangana high court ne, hadhtaali mulazmeen ki tankhwahein dene ki TSRTC ko diya hukum

Hyderabad : Telangana high court ne chaharshambe ko Telangana state road transport corporation ( TSRTC ) ko, 21 october tak tamam mulazmeen ko September ki tankhwa ada karne ki hidaayat ki hai. adalat ne ye hukum mulazmeen mein se ek ki janib se di gayi Dar-khwast par ghour ke baad sunaya.

TSRTC ne tamam 49,190 mulazmeen ko tankhwahein ada nahi ki hai. mulazmeen ki ghair muayana muddat ki hadhtal 5 october se shuru hoyi hai.

TSRTC intezamia ne adalat ko bataya ke hadhtaal ki wajah se tankwahon ki adaigi mein takheer hui hai, aur kaha ke ”chonke mulazmeen hadhtal ki wajah se duty par wapas nahi aarhey hain, lehaza tankhwahon ki adaigi mushkil hogi. taham adalat ko yaqeen dehani karai ke mulazmeen ko peer tak tankhwahein di jayengi.

TSRTC amlay ki hadhtal charshambeh ko 12 din mein daakhil hogayi hai. high court ne hukoomat aur hadhtali amlay dono se mangal ko baat cheet shuru karne ke liye kehnay ke ba wujood, ta-attul ko todnay ke liye koi qadam uthane ke aasaar nahi nazar nahi aarhey hain.

Hadhtali mulzameen ki joint action committee ( JAC ) ke rehnuma Ashwathama reddy ne kaha ke ”abhi inhen muzakraat ke liye hukoomat ya TSRTC ki taraf se koyi dawat nama masool nahi hua hai. unhon ne ilzaam lagaya ke hukoomat baat cheet ke naam par zehni khel khel rahi hai.

Ashwathma reddy ne mazeed kaha ke siyasi jamaaton, trade unions aurs mulazmeen ke groupon ne 19 oct ko JAC ke Telangana band ke mutalbey ki himayat ka elaan ke kiya hai. unhon ne kaha ke jab tak hukoomat, mulazmeen ke tamam jaaiz mutalibaat ko qubool nahi karti, is waqt tak un ehtijaj jari rahega.

Wazeh ho ke hadhtali mulazmeen 26 mutalibat ke sath hadhtal par hain, jinka ahem mutalba TSRTC ko hukoomat mein zam kar ne ka hai. mazkoorah hadhtal ke khilaaf sakht muaqqaf akhtir karte hue wazeer-e-aala KCR ne usay ghair qanooni qarar diya aur hadhtali mulazmeen se kisi bhi tarhan ki baat cheet ko bhi mustard kar diya. sath hi yeh bhi elaan kya ke 48,000 hazaar se zayed mulazmeen ne dead line ki miyad khatam honay se pehlay duty par loutney se mutaliq hidaayat ko na mantay hue khud ko nokriyoun se Bar-khast kar liya hai. –YTN STAFF