Thursday, July 10, 2025
HomeHyderabadTelangana Haj Committee ke maazi ke maali tasarrufaat par shubhat ka saya

Telangana Haj Committee ke maazi ke maali tasarrufaat par shubhat ka saya

Hyderabad. Telangana Haj Committee ke maazi mein kiye gaye maali tasarrufaat par shubhat ka saya badhta ja raha hai, chunkay guzishta baras jo umoor anjaam dyie gaye they wohi is baras taqreeban do tahai kam masarif par injaam panay lagey hain. Yaad rahay ke guzishta barson mein Riyasti Haj Committee, Special Officer ki nigrani mein kaam injaam diya karti thi. is martaba hukoomat ny reyasti Haj Committee tashkeel di hai jis ki nigrani mein aazmeen Hajj ki safar muqaddas par rawaangi ke intezemaat kiye jarahay hain. Jab supplying samaan ki farahmi ke liye order dainay ka maamla paish aaya to Committee ney faisla kya ke is martaba namzadgi ki asaas par yeh umoor allot karne ki bajaye open tender ka tareeqa ikhtiyar kya jaye. Is faisla ka yeh nateeja nikla ke lakhoon rupay ki bachat hogayi. Dilchasp baat yeh hai ke guzishta baras jis company ney 22.40 lakhs rupay ke aiwaz apni khidmaat paish ki theen usi company ney waisay hi sahulaton ki farahmi ke liye sirf 6.40 laakh rupay mein yeh umoor anjaam dainay par aamadah hogayi. Is terha afraat zar aur qeematon mein be tahasha izafah ke bawajood taqreeban do tahai raqam ki bachat hui. Isi terha guzishta baras Hajj Camp ke liye aarzi bait ul khala ki sarbarahi ke liye 20 lakhs rupay kharch kiye gaye thay magar is martaba Haj Committee ney kiraya par aarzi bait ul khala Units haasil karne ki bajaye inhen kharid lene ka faisla karliya jis par sirf 16 laakh rupay ke hi masarif aaye. Sadarnashin Haj Committee Mr. Mohammad Masihullah Khan ney kaha ke hum ney yeh taye kya ke namzadgi ki asaas par kaam allot karne ki bajaye open tender rakhay jayen aur hum ney Media ke samnay khulay mein tenders khole thay. Unhon ney yeh bhi bataya ke hum aazmeen ko behtar se behtar saholaten baham pohanchanay koshaan hain. Unhon ney bataya ke jo aarzi bait ul khala khareeday gaye hain woh deeni ijtemaat mein muft faraham kiye jayen ge. Sawal yeh paida hota hai ke Company aik baras baad taqreeban do tahai kam damon par tender haasil karne par amaada kyun hogayi. umooman hota yeh hai ke waqt guzarnay ke sath qeematon mein izafah ke paish e nazar tenders ki ijrayi ya kamon ki namzadgi mein aik makhsoos had tak izafah ko tasleem bhi kya jata hai magar is martaba ulti Ganga behnay lagi. Namzadgi ki bajaye open tender ke zareya kaam tafweez karne ka faisla karne par wohi company jis ney guzashta baras 22.40 laakh rupay wusool kiye thay is martaba sirf 6.40 laakh rupay ki kam qeemat par amaada kaisay hogayi? Is liye zaroorat is baat ki hai ke Haj Committee ke hisabaat ki fori audit karwai jaye aur Central Vigilance ya kisi aur tehqiqati idaara ke zareya tehqiqaat karwai jayen taakay is scandal mein Haj Committee ke ohdedaron ke rule ka pata chal sakay.