Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderTelangana Express mein lagi aag, koyi jani nuqsaan nahi huwa

Telangana Express mein lagi aag, koyi jani nuqsaan nahi huwa

Hyderabad: Haryana ke aik Railway Station par jumaraat ko Hyderabad-New Delhi Telangana Express ke do dabon mein achanak aag lagi hukkaam ke mutabiq koi jani nuqsaan nahi huwa aur nah hi kisi ke zakhmi honay ki ittila hai. Mehakma Railway ke aik Senior ohdedar ney bataya ke, Train mein aag Asaoti Station par subah taqreeban 7.43 bajey train number 12723 mein lagi, jis ke bad fire ke mutadid tender bhej diye gaye .

Mazkoorah Train Asaoti Station se guzar chuki thi, lekin Asaoti Ballabgarh ke darmain usay rokna pada. Railway ohdedar ney kaha ke aag 9 dabbay ke pahiye ki break binding se bharak gayi, aur do dabon mein aag lagi. Un dono dabon ko Train se allag kar diya gaya hai. Musafiron ko dosray dabon mein muntaqil kiya gaya aur subah 10.35 bujey train rawana hogayi.