Friday, April 26, 2024
HomeOthersHealthTelangana: Corona Special Chai ki talabb mein izafah, Hanamkonda ke 1 shakhs...

Telangana: Corona Special Chai ki talabb mein izafah, Hanamkonda ke 1 shakhs ka karnaama

Warangal: Corona ki waba ke sabab Telangana mein tamam terhan ki tijarti sar garmioun par asar pada hai taham Warangal zila ke Hanamkonda ka ek chothee Chai ki dukaan walay ne anokhi pehal ki hai. Is ne special corona Chai tayyar ki hai jis ko kharidne ke liye logoun ki qataar dekhi jarahi hai. Is dukandaar ne corona ki sorat e haal ka faida uthatay hue khusoosi Chai tayyar ki hai jo gahkoun ke liye tavajja ki markaz bani hui hai aur is ki talabb mein bhi izafah hota jaraha hai. Ye shakhs Hanamkonda ke Ram Nagar mein ek Tiffin Center chalata hai.

Is ne Adrak, Dalchini aur deegar ajza par mushtamil ye khusoosi Chai tayyar ki hai jo is ilaqa mein maqbool hogayi hai. Un dinoun is ki talabb mein batadreej izafah hota jaraha hai. Corporate companiyon ke mulazimeen bhi ye Chai daaftar jatay hue pi rahay hain. Ye Chai ki dukaan wala 10 rupiye mein Chai farokht kar raha hai. Is ka kehna hai ke wo saaf bartano mein ye Chai kaafi ahthyat se banaraha hai. Baaz afraad ka kehna hai ke is Chai ko peenay ke baad wo gilaay mein raahat mehsoos kar rahay hain. Is dukandaar ka kehna hai ke wo pehlay rozana 50 Chai farokht karta tha taham ab woh rozana 600 Chai farokht karta hai.