Hyderabad: Telangana Congress Unit ne online tehreek ”Speak Of Telangana ka aaghaz kiya. Is mauqa par khitaab karte hue Telangana Pradesh Congress Committee ke sadar o rukan parliament Captain Uttam Kumar Reddy ne party leaders ko hidayat di ke wo is tehreek mein talba, Be rozgaroun, asatezaa, Danishwaroun aur taajiroun ko shaamil karen. Unhoun ne mashwara diya ke Social Media ke mukhtalif Platforms jaisay Facebook, Twitter, YouTube, Instagram, WhatsApp Telegram ke zareya awam mein baydaari peda kare. Unhoun ne party cadres par zor diya ke wo chhootay tajereen, Mazdooroun, Kisanoun aur danishwaroun ke sath uth khaday hon jin ko nazar andaz kardiya gaya hai.
Unhoun ney tajweez pesh ki ke awam ke mukhtalif mutalibaat par hukoomat par dabao mein izafah kiya jaye. Unhoun ney kaha kay corona ke ilaaj ko Arogyasree ke tehat laya jaye. Sath hi corona ke maaynoun ki tadaad mein izafah kiya jaye. Unhoun ney kaha kay Private Hospitals mein li jane wali raqam ko baqaida banaya jaye. Sath hi un Hospitals ke 50% bistaroun ko hukoomat ke control mein layajaye. Unhoun ney kaha ke sarkari Hospitals mein Ventilators aur Oxygen ki sahoolat mein mazeed behtari pedaki jaye. Corona se marnay walay afraad ke har khandan ko 10 lakh rupiye diye jayen. Unhoun ney reyasti hukoomat par zor diya ke wo medical, Sanitization aur police mulazimeen jo corona se ladai ladtay hue mout ki neend sogaye ke khandan ko fi kas 50 lakh rupiye exgratia diya jaye.