Monday, May 5, 2025
HomeHyderabadTelangana baldi intikhabaat : Chand chhootey waqeat ko chod kar rahe dahi...

Telangana baldi intikhabaat : Chand chhootey waqeat ko chod kar rahe dahi ka pur aman ekhtataam

Hyderabad: Riyasat Telangana mein kuch maqamat pur chand chhote motay waqeat ko chod kar, Riyasat ke 120 baldiyat aur 9 Municipal Corporation ke liye charshumbe  ko voting pur aman rahi. Reyasti Election commission ke ohderaroun ke mutabiq, Tamam azlaa mein sah pehar 3 bajey tak Polling ka tanasub 67.46 raha. Subah gayarah bajey tak tamam shehri baldeati idaroun mein voting ka osat 36.63 feesad raha.

Reyasti wazeer V Srinivas Goud, Singireddy Niranjan Reddy ne apne konbe ke membroun ke sath apne apne polling stationoun pur vote dala. TPCC ke sar barah Uttam Kumar Reddy ne apni ahliya Padmavati ke sath apne vote ka istemaal kiya, Aur CLP  rehnuma Mallu Bhatti Vikramarka ne bhi vote dala.

Baad mein media numaindoun se guftagu karte hue Uttam Kumar Reddy aur Mallu Bhatti Vikramarka ne intikhabi zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi karte hue votoron mein raqam takseem karne pur TRS rehnumao ko tanqeed ka nishana banaya. Maloom huva hai ke police ne kuch logoun ko giraftar kiya hai, Jo kuch Polling stationon pur raqam banttay hue paye gaye they.

Gadwal  ke ek Polling station par, Police waloun ne congress aur MIM kaarkunoun ko muntashir kar ne ke liye laathi charge ka saha ra liya. Is douran congress rehnuma Shankar zakhmi ho gaye they, Inhen hospital muntakil kar diya gaya.

Yadagirigutta mein, Bijli ki katoti ki wajah se kuch polling stationon pur voting aadha ghanta takheer se shuru hui. Aur amlah raye dahendgi ke amal ko anjaam dainay ke liye farsh pur baith gaye kyunkay wahan mizin mojood nahi then. Kuch polling stationon pur congress, TRS, AIMIM aur BJP kaarkunoun ke dar miyan jhad pen huven.

Agar chay ke, Voting subah 7 bajey shuru hui, Lekin ibtidayi auqaat mein voters ki tadaad kam rahi. Kompally baldia ke tehat lag bhag 10 polling stationon pur intikhabi ohdedaroun ne pehli baar chehray ki shanakht karne walay app ka istemaal kiya. Reyasti election commission aur baldeati ohdedar 2, 406 polling stationon mein web casting ke zariye voting ke amal ki nigrani kar rahay they aur 2,072 polling stationoun mein video Graphy ki gayi thi. –YTN STAFF