Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaTelangana aur Andhra Pradesh ke 6 azlaa mein NPR anjaam diya gaya

Telangana aur Andhra Pradesh ke 6 azlaa mein NPR anjaam diya gaya

Hyderabad: Agarchay ke National Population Register ( NPR ) ko le kar pooray mulk mein mahol garam hai. Lekin is ke bawajood chand mah qabal Telangana aur Andhra Pradesh mein ek NPR ( Trial form ) anjaam diya gaya tha. Ek Senior ohdedar ne ye baat batayi.

Dono reyastoun ke 3 azlaa ka intikhab hindustan bhar mein 68 azlaa ke sath kiya gaya tha, Jahan mardum shumari 2021 ke liye bhi mashq mukammal ki gayi thi. Zaraye ke mutabiq, Telangana ke azlaa mein Nizamabad ( Urban ), Warangal ( Urban ), Aur Mehboob Nagar, Aur Andhra Pradesh ke azlaa mein Vijaynagaram, Anantapur, Aur Guntur mein NPR ki karkardagi amal mein layi gayi.

Rukan parliament Hyderabad Asaduddin Owaisi aur Muslim tanzeemoun ne wazeer aala K Chandrashekhar Rao se riyasat mein NPR ki sar garmioun ko roknay ka mutalba kiya hai. Peer ke roz, All India Muslim Personal Law board ke khatoon membraan ne wazeer aala se appeal ki ke wo NPR aur NRC ko mustard karne ke liye Assembly mein ek bill paas karen.

Zaraye ne bataya ke taqreeban 30 lakh afraad ne bataya ke muntakhib reyastoun ke 74 azlaa mein adaad o shumaar jama karne ke liye 21 pera matters pouchye gaye they. Khaas tor par waalid, walida ka maqam paidaiesh hatmi rahaish gaah ka pata, Aadhaar ( ikhtiyaari ), PAN Card, Voter shanakhti card, Passport, Mobile phone number aur Driving license number mangy gaye they.

Nizamabad se talluq rakhnay walay ek ohdedar ne bataya ke ye amal aasani se khatam hogaya. Kisi ne bhi un ko manfi raye nahi di. September aur October 2019 mein jab ye mashq amal mein layi gayi, Shehrioun ki taraf se koi muzahmat nahi hui. Un sab ne tafseelaat raza karana tor par jama kar wane.

Nizamabad ke 4 ward, Warangal Urban mein Vellore mandal ke saat gaon aur Mehboob Nagar mein Nawabpet mandal ke 4 dehaat shaamil they. Majmoi tor par 144 ginti walay blocks ki nishandahi ki gayi, Jin mein se har ek mein 120-150 ghar hain. Sarkari tor par ahal khanah ko mazeed maloomat di jayen gi. Andhra Pradesh mein Anantapur ke Atmakur  mandal mein, 8 dehatoun mein, Vijaynagaram Bhogapuram mandal ke 6 municiple wardoun mein, Guntur ke 8 dehatoun ihata kiya gaya tha.

Ye pehla mauqa nahi, Jab Telangana mein NPR ke  ineqad kiya gaya hai. 2015 mein, Tamam azlaa mein 2010 ki NPR ko Update kiya gaya tha. NPR ki mashq sab se pehlay 2010 mein ki gayi thi. –YTN STAFF