Saturday, May 18, 2024
HomeTelanganaTelangana aur Andhra ke darmain Bus khidmaat bahaal karne par ghhor

Telangana aur Andhra ke darmain Bus khidmaat bahaal karne par ghhor

Hyderabad: Telangana aur Andhra Pradesh ke darmain RTC Buses ke chalanay par moahida ka imkaan hai. Muahiday par tabadlah khayaal 1 ya 2 din mein sarkari satah par hoga. Abhi tak ye wazeh nahi hai ke Telugu reyastoyn mein chalaye jany walay RTC Buses ke muahiday ki bunyaad kiya banai jaye. Ke ahem asaas ya Route ki bunyaad par Buses ko chalanay ke baray mein ek wazeh tasweer abhi samnay nahi aaski hai. Yaad rahay ke Chief Minister K Chandrashekhar Rao ne ohdedaroun par wazeh kiya hai ke wo un reyastoun ke sath maahdoun tak pounchanay ke baad hi sarhad se mulhiqa reyastoun ke liye  bain reyasti Bus khidmaat ka aaghaz karen. Karnataka, Maharashtra aur Andhra Pradesh ki sarhadi reyastoun ke sath muahiday tay karna baqi hain. Mutahidda riyasat mein tay panay walay muahiday abhi jari hain.

Riyasat mein coronavirus ke nateejay mein lockdown ki wajah se bain reyasti Bus khidmaat mutasir huvi hain. Lockdown mein narmi se Telangana ke andar Bus khidmaat dobarah shuru kardi gayeen hain jabkay bain reyasti Buses chalanay par markaz ne reyasatoun ko faisla lainay ki azaadi di. Maharashtra ke sath kisi samjhote tak pounchanay ke liye ohdedar is virus se nimatnay mein bohat ziyada masroof amal hain kyunkay padosi riyasat mein corona ke sab se ziyada mamlaat hain.

Hukoomat AP ne Telangana mein RTC khidmaat ko chalanay ke liye apni tayari ka izhaar karte huve hukoomat Telangana ko ek khat khitaab kiya. Lehaza hukoomat Telangana ka RTC Buses ko chalanay ke silsilay mein AP ke sath moahida karne ka mansoobah hai.