Thursday, May 16, 2024
HomeSliderTelangana Assembly ne Narsimha Rao ko Bharat Ratan ke liye qarardad kiya...

Telangana Assembly ne Narsimha Rao ko Bharat Ratan ke liye qarardad kiya manzoor, Majlis ne ki mukhalifata

Telangana reyasti qanoon saaz Assembly ney mangal ke roz mutafiqa tor par ek qarardad manzoor karte hue markazi hukoomat se mutalba kiya ke woh sabiq Wazeer-e-Azam PV Narsimha Rao ko Hindostan ke sab se baday Civilian Award Bharat Ratan ataa karen. Wazeer-e-Aala K Chandrashekhar Rao ney Assembly mein qarardad pesh kiya aur markazi hukoomat se mutalba kiya ke aindah ijlaas ke douran markaz is silsilay mein elaan kere, Unhoun ney markazi hukoomat se parliament mein Narsimha Rao ka mujasma aur tasweer laganay ki bhi Appeal ki.

Qarardad mein Hyderabad ki Central University ka naam tabdeel kar ke PV Narsimha Rao Central University rakhnay ka bhi mutalba kiya gaya. Qarardad mein markazi hukoomat ko is baat par zor diya ke Telangana ke betay Narsimha Rao jo janoobi hind se pehlay Wazeer-e-Azam rahen, Inhen Bharat Ratan ataa kere, Woh nai muashi islahat ka maimaar hain, Ek nadir sifaratkaar, Ek behtareen falsafi jis ne mulk ko taraqqi ki raah par gamzan kiya aur ek ghair mamooli zaheen rehnuma ke tor par bayan kiya. Wazeer-e-Aala ki darkhwast ke baad speaker Pocharam Srinivas Reddy ne reyasti Telangana Assembly mein sabiq wazeer-e-azam ki tasweer ki naqaab kushai ki manzoori bhi day di.

KCR ney kaha ke yeh bad qismati hai ke Narsmiha Rao ko munasib shanakht nahi mili aur Telangana hukoomat is azeem quied ki shiraakat ko yaad karne ke liye un ki paidaiesh ki sad sala taqreeb mana rahi hai, Aur wazeer aala ney mazeed kaha ke Narsmiha Rao ek musleh they jinhon ney mulk mein kayi islahat shuru kiye aur woh poori duniya mein ek azeem danishwer ki hesiyat se pehchane jatay hain.

Wazeer aala ne yaad dilaya ke jab logon ke liye rozgaar aur aamdani ka wahid zareya zameen thi tab is waqt ke ghair munqasim Andhra Pradesh ke Wazeer-e-Aala ki hesiyat se Narsmiha Rao ne zameen islahat ko bahaduri se nafiz kiya tha, Unhoun ne daawa kiya ke is ke nateejay mein riyasat Telangana mein 93 feesad chhote aur darmiyani darjay ke kisaan hain. KCR ne kaha ke muashi islahat ki wajah se hi Narsimha Rao ne Wazeer-e-Azam ki hesiyat se amal daraamad hue aur mulk taraqqi ki raah par gamzan huwa aur is ki maeeshat mustahkam hui. Reyasti wazeer aala, Markazi wazeer, Aur baad mein Hindostan ke wazeer-e-azam ki hesiyat se KCR nay Narsimha Rao ki kamyabion ka zikar kiya.

All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ne is qarardad ka boycott kiya hai. Media numaindon se baat karte hue majlis ke motamad umomi Syed Ahmed Pasha Qadri ne kaha ke.” Reyasti hukoomat ke mutalbe par PV Narsimha Rao ke liye Bharat Ratan aizaz nawazne se qarardad manzoor honay wali hai, Is zimn mein AIMIM ka muaqqaf ibtida se yahi raha ke jis shakhs ne Babri Masjid ki shahadat karwai hai, Is talluq se Majlis ne hamesha ehtijaj kiya, Aur is ke liye 15 Feb 2005 ko Telangana Assembly se qabal Andhra Pradesh Assembly mein rukan Assembly Akbaruddin Owaisi ne ek taweel aur par asar taqreer karkay PV Narsimha Rao ke firqa parastana zehniat ko aashkaar kiya aur is qarardad ki mukhalifat ki. Unhoun ne mazeed kaha ke yeh wohi Wazeer-e-Azam they jo Babri Masjid ki shahadat mein firqa parast tanzeemon ko khuli chhuut day rakhi thi, Qaumi yakjahti Council, Supreme Court, Parliament mein is baat ka tequn diya tha ke Babri Masjid ki hifazat hogi, Lekin bajaye is ke hifazat karne ke is ne khud ko Masjid ki shahadat mein mulawis kardiya. Rukan Assembly Syed Ahmed Pasha qadri ne mazeed kaha ke “Majlis ne ibtida se is shakhs ki mukhalifat is bunyaad par karte aa rahi hai ke yeh wohi Wazeer-e-Azam tha, Jo Babri Masjid ki shahadat ki zimma daar hai, Babri Masjid ka tala todnay wali jamaat Congress, Aur yahi Congress Party ki sarparasti mein firqa paraston nay Babri Masjid ko shaheed kiya”, Lehaza hum Assembly mein jo qarardad pesh ki jarahi hai is ki mukhalifat karen ge.

Unhoun ny mazeed kaha ke” 1971 mein Telangana tehreek mein 350 bachon ko shaheed kiya gaya, Talba ka ek saal raaygan ho gaya, Lakhoon Crores rupay ki jayidadin yahan nuqsaan ko pohanchi, Aur us waqt bachon par Firing karne ka order dainay walay yahi PV Narsmiha Rao they aur 1984 mein Delhi fasadaat mein Sikho ka qatal aam ho raha tha, Home Minister ki hesiyat rakhnay walay Narsimha Rao is fasadaat ko roknay mein nakaam rahen. Taham Majlis ka shuru se yahi moaqqaf raha hai ke woh is qarardad ko Boycott kere gi. Is mauqa par wazraa KT Rama Rao, V Srinivas Gaud, A Indera Kiran Reddy, Satyavathi Rathod, Gangula Kamalakar, Congress qanoon saaz party ke rehnuma Mallu Bhatti Vikramarka, Aur kayi deegar members Assembly nay bhi khitaab kiya.