Friday, May 3, 2024
HomeSliderTelangana assembly ke budget ijlaas ka peer se aaghaz, opposition jamaten hukoomat...

Telangana assembly ke budget ijlaas ka peer se aaghaz, opposition jamaten hukoomat kar ghernay ke liye tayyar

Hyderabad : Telangana riyasti muqannah ka budget ijlaas peer 9 September se shuru hone wala hai. reyasti kabeena ne aaj ek ijlaas munaqqid kiya, jis mein budget ijlaas se qabal budget ki salana tajaweez ko Manzoor kar liya. T.harish rao jinhein aaj kabeena mein shaamil kiya gaya, aur inhen mehakma khazana ka qalamdaan mukhtas kiya gaya, woh mumkina tour par qanoon saaz assembly mein budget paish karenge.

Yeh budget ijlaas hungama khaiz honay ka imkaan hai, kyunkay opposition jamaatoun ke rehnuma apne tanqeedi nishtar taiz kar rahay hain. jabkay hukmuran jamaat budget ki mutafiqa manzoori ke liye tamam siyasi jamaaton ke ittafaq raye ko haasil karne ki koshish kar rahi hai.

Aewaan mein Congress, TDP aur BJP jaisi teen opposition jamaten, reyasti hukoomat ko mutadid awaami pareshaniyon se aagah karne ke liye kamar basta hain.

CLP rehnuma Mallu Bhatti Vikramarka pehlay hi yeh wazeh kar chuke hain ke woh kisanoun ke qarz maffi, urea ki qillat, berozgaron ko rozgari ki ujrat, aab paashi projects par amal-dar-aamad mein bad-unwani, PPA aur reyasti hukoomat ki nakami jaisay mutadid umoor par reyasti hukoomat ko waaqif karwaynnege.

BJP ki janib se 17 September ko sarkari tor par Telangana yom-e-azaadi mananay aur deegar awaami pareshaniyon ka maamla uthaye janey ka imkaan hai. aewaan mein sirf ek rukan assembly rakhnay wali TDP bhi kayi awaami pareshaniyon ke muddoun ko uthayegi. imkaan hai ke mazkoorah budget ijlaas 19 September , 10 din tak jari rahega. –YTN STAFF