Thursday, May 2, 2024
HomeSliderTelangana assembly ka budget ijlaas 22 September tak jari rahega

Telangana assembly ka budget ijlaas 22 September tak jari rahega

Hyderabad : Telangana assembly ke ahatay mein munaqidah business advisory committee ( BAC) ke ijlaas mein liye gaye faislay ke mutabiq Telangana assembly ka budget ijlaas 22 September tak jari rahega.

Assembly ke kamoun ki tarikhon ke aarzi calendar ke mutabiq, Muharram aur ganesh ke mujasmoun ke visarjan ki wajah se 3 tatilat ke baad salana maali saal ( budget ) par aam behas 14 aur 15 September ko hogi.

15 aur 16 September ko wazeer-e-aala housing, samaji behbood, qabaili behbood, BC welfare, aqliati behbood aur khawateen, bachoun aur mazoor afraad ki Falah wo behbood ke salana maali tafseelaat par behas ka jawab denge.

Baad mein, yeh aewaan municipal intizamia aur shehri taraqqi, panchayat raj, dehi taraqqi, sadkain aur emiratein, major aur darmiyanay aab paashi aur tawanai se mutaliq sarkari kaarobar aur bill lega.

Sarkari kaarobar bill 17 se 21 September tak jari rahenge. aewaan iski manzoori ke liye 22 September ko Telangana takhseeshi bill par ghour karega.

Speaker Srinivas pocharam reddy ki zair-e-sadarat BAC ijlaas mein qaied aewaan KCR aur congress ke qaideen Mallu Bhatti , BJP ke Raja Singh, AIMIM ke rehnuma Akbaruddin owaisi aur shareek hue. –YTN STAFF