Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadTeez Raftaar Gaadi Chalanay walay khabardaar, shehar ke mukhtalif maqamat par speed...

Teez Raftaar Gaadi Chalanay walay khabardaar, shehar ke mukhtalif maqamat par speed guns nasb

Hyderabad: Shehar Hyderabad mein kills road nojawanon ke liye tafreeh ka aik pasandeeda maqam hai jahan aksar nojawaan taiz raftaar gaadi chillate huwe lutaf andoz hotay hain lekin ab un ke liye khabardaar honay ka waqt agaya hai kyunkay Police ki janib se yahan taiz rafter gaadiyon par qaboo panay ke liye speed guns nasb kiye ja rahay hain. waisay to hyderabad mein 21 speed guns pehlay hi Cyberabad, Rachakonda aur Hyderabad ke hudood mein mojood hain aur ab mazeed 30 naye Guns ko shehar ke mukhtalif ilaaqon mein nasb kiya ja raha hai. Teez raftaar gadiyon par qaboo panay ke liye yeh Asri alaat mukhtalif maqamat par nasb kiye ja rahay hain aur aindah das pandrah dinon mein yeh apni karkardagi ka aaghaz bhi kar den ge.

Hyderabad Traffic Police ko ney kills road par un speed guns ki training di ja rahi hai jaissa ke yeh Asri alaat laser Tecnology ke zariye apni karkardagi dekhein ge. Speed Guns teez raftaar gadiyon ki tasweer mehfooz karte huwe un ki raftaar ki tafseelaat bhi jari karen ge jis ke baad traffic police gadiyon ke malkaan ke khilaaf chalaanat jari karen ge. Delhi ki Company ki janib se yeh speed guns faraham kiye ja rahay hain. Aik speed Gun ki qeemat 6. 5 lakh rupiya hai. Is khsoos mein izhaar khayaal karte huwe company ke manager Madhu ney kaha ke ke yeh Asri alaat karkardagi mein kaafi muasar honay ke ilawa istemaal mein kaafi aasaan hain. Is liye Traffic Police ke liye do roza training ka ihtimaam kiya ja raha hai jis ke baad Police ohdedar un speed guns ko istemaal karne ke na sirf qabil ho jaien ge balkay is ke zariye teez raftaar Gadiyon par qaboo paana bhi aasaan ho jaye ga.

Traffic Police ke Circle Inspector ney kaha hai ke Hyderabad ke mukhtalif hudood mein pehlay hi is terha ke 21 speed guns  istemaal kiye jarahay hain jabkay mazeed 30 guns mukhtalif maqamat par nasb kiye jayen ge jis ke zariye tez raftaar gadiyon par qaboo paaya jasakay ga. Unhon ne mazeed kaha ke un alaat ko nasb karne ka maqsad awam ke khilaaf Traffic Chalan jari karna nahi hai balkay sadak hadsaat ko qhabo kar na is ka asal maqsad hai. Unhon ney mazeed kaha hai ke Police ko training di ja rahi hai aur aindah das pandrah dinon ke darmain un yeh Asri alaat apni karkardagi ka aaghaz kar dein ge. Is ke ilawa awam mein shaoor baydaari muhim bhi shuru ki jarahi hai taakay woh mukhtalif raastoon par muqarara raftaar ki  haad se waaqif hotay huwe raftaar ki muqarara haad mein apni gaadi chalayein.