Friday, May 9, 2025
HomeJurmTeen Talaq bill paas honay ka jashn mananay par 1 shakhs ne...

Teen Talaq bill paas honay ka jashn mananay par 1 shakhs ne apni biwi ko diya Talaq

New Delhi : Banda fatehpur  zilla ke bend ki ilaqa mein teen Talaq bill ke parliament mein paas honay ka jashn mana rahi ek muslim khatoon ko iske shohar ne ”Teen tala keh kar ghar se bahar nikaal diya.

Police zaraye ne is silsila mein darj report ke hawalay se bataya ke Bend ki police station hudood ke Jegni gaon mein rehne wali Mufeeda khatoon ko Rajya sabha mein teen Talaq bil paas honay ka jashn mananay par is ke shohar Shams uddin ne Mufeeda ke Maaike pohanch kar iske maa baap ke samnay teen baar Talaq kaha.

Zaraye ne bataya ke mutasirah ki shikayat par Shams uddin ke khilaaf 3 august ko muqadma darj kiya gaya hai aur iski talaash ki jarahi hai. –YTN STAFF