Friday, April 26, 2024
HomeSliderTeam ke intikhab mein dhandli, Hyderabad cricket association ke khilaaf shikayat

Team ke intikhab mein dhandli, Hyderabad cricket association ke khilaaf shikayat

Hyderabad: Hyderabad cricket association (HCA) aur tanazeaat ka choli daman ka rishta mehsoos hota hai kyunkay aaye din kuch nah kuch tanazeaat samnay aate rehte hai aur is martaba ke liye hyderabadi team ke intikhab mein ahal khiladiyoun  ko nazar andaaz kiye jane ki shikayat samnay aayi hai.

Tafseelaat ke mutabiq SC/ST tanzeemon ki all India confideration ne telangana state human rights commission se rujoo kya aur hyderabad cricket association (HCA) ke khilaaf shikayat darj karwai. State wing ke SC/ST organization ke sadar ke Maheshwar raj aur cricket khiladion ke walidain ne ilzaam lagaya ke hai ke mujawaza viaya hazare tournament ke liye team ka intikhab karte hue HCA ne shandaar muzahirey karne walay khiladioyun ko nazar andaz kiya hai/

Maheshwar ne kaha ke HCA ne salahiyat ki bajaye siyasi pas manzar par mabni khiladion ka intikhab kya. unhon ne yeh bhi ilzaam lagaya ke sabiq hinudstan captain aur HCA ke sadar Mohammed Azharuddin ki sarbarahi mein HCA ne lodha committee islahat par amal nahi kya. Unhon ne kaha walidain apne bachon ki coaching ke liye bohat ziyada raqam kharch kar rahay hain lekin ba-salahiyat cricketers ko nazar andaz kya ja raha hai aur mamooli muzahiron ke haamil khiladion ka intikhab kiya jata hai. Unhon ne is muamlay mein hukoomat ki mudakhlat ka bhi mutalba kya.

Yaad rahe ke hyderabad cricket association (HCA ) aisay khiladion ko mauqa diya jata hai jo ke doulat ya siyasi assar wo sokh rakhtay hon. yeh bhi kaha jata hai ke intikhab mein uqarba parwari aur dhandlyon ki wajah se hyderabad se ziyada khiladi IPL aur qaumi team tak rasai haasil nahi kar parahe hain.