Sunday, May 19, 2024
HomeSliderTayyip Erdogan ke muqablay sabiq sadar Abdullah Gul se

Tayyip Erdogan ke muqablay sabiq sadar Abdullah Gul se

Istanbul: Turkey mein ye afwahen gardish kar rahi hain ke aindah intikhabaat mein sadar Recep Tayyip Erdogan ke muqablay mein opposition sabiq sadar Abdullah Gul ko apna sadaarti umeed waar naamzad karne par ghhor kar rahi hai. Abdullah Gul aur Recep Tayyip Erdogan ney mil kar 2001 mein mojooda hukmaran jamaat justice and development party ( AKP ) ki bunyaad rakhi thi. Justice and Development Party ki hukoomat mein Abdullah Gul 2007 se 2014 tak sadar rahay jabkay is waqt Erdogan wazeer-e-azam they. Tafseelaat ke mutabiq sabiq sadar Abdullah Gul guzashta kuch arsay se Recep Tayyip Erdogan par sakht tanqeed karte rahay hai.

Ek TV Interview mein Turk opposition jamaat Republican Peoples Party ke rehnuma Kemal Kilicdaroglu  neh kaha hai ke hukoomat sabiq sadar Abdullah Gul ki namzadgi se bohat ziyada khaufzadah hai. Abdullah Gul par mulk ke secular halqon ki janib se tanqeed bhi ki jati rahi hai ke wo taaqat ke ek fard ke paas artakaz ke liye jari iqdamaat ke waqt khamosh rahay aur is ke liye kisi qisam ka muaser zabitakar tashkeel nah diya gaya.

Abdullah Gul ke baarey mein kaha ja raha hai ke wo haal hi mein sabiq muashi tycoon Ali Babacan. ki janib se banai gayi Democracy and Progress Party ke peechay hain. Opposition party ke rehnuma Kemal Kilicdaroglu  ney interview ke douran is baat se inkaar kiya ke wo har haftay Abdullah Gul se guftagu karte hain. Unhoun ney kaha ke wo loog jo hafta waar mulakaton ke ilzamaat lagatay hain ke wo kisi aur ke zair asar hain aur nafsiati masail ka shikaar afraad hain.

Sabiq sadar neh ta haal aindah Election mein hissa lainay ke barey mein khamoshi ikhtiyar kar rakhi hai taham bohat se afraad samajte hain ke Turkey ko ek achay muqaabla karne walay ki zaroorat hai. Warsaw mein Poland ke Institute Of International Affairs se wabsta tajziakar Karol Wasilewski kehte hain ke Abdullah Gul ki mumkina namzadgi is janib ishara kere gi ke Republican Peoples Party neh rajat pasand eqdaar ki janib jhukao dekhaya hai taakay Erdogan ki justice and development party ka behtar andaaz mein muqaabla kar sakay.

Tajziakar Karol Wasilewski ke mutabiq Abdullah Gul ko Erdogan ke muqablay mein khada karne kayi wajohaat ki bana par koi aaccha faisla nahi hai. Agar aisa umeed waar lana hi hai jo Erdogan ki party ke voters ke liye bhi qabil qubool ho to Ankara ke opposition Mayor Mansur Yavas  aur Istanbul ke opposition Mayor Ekrem Imamoglu ziyada behtar hain kyunkay Abdullah Gul ke barey mein ye raye hai ke wo Erdogan ke iqdamaat par un ke khilaaf khaday honay mein nakaam rahay.