Wednesday, May 1, 2024
HomeSliderTaylor barq-e raftaar century, New Zealand ne nakamiyoo ka silsila toda, Hindustan...

Taylor barq-e raftaar century, New Zealand ne nakamiyoo ka silsila toda, Hindustan ko shikast

Hamilton: Jarehana aur tajrubakar batsman Ross Taylor ki na qabil e shikast 109 Runs ki shandaar century, Opener Henry Nicollas ( 78 ) aur Captain Tom Latham ( 69 ) ki behtareen nisf Century ki badolat New Zealand ne Hindustan ko pehlay One Day Match mein 4 wicket se harakar 3 matches ki series mein 0.1 ki sabqat haasil karli. New Zealand ne T20 series mein 0.5 ki shikast ko peechay chodtay hue One Day series mein shandaar shuroat ki aur Hindustan ke himaliyai Score ku hasil karliya.

Hindustan ne Shreyas Iyer’s ki century ke alawa wicket keeper K.L Rahul aur Captain Virat Kohli ki nisf Century se 4 wicket par 347 Runs banaya lekin Hindustani Bowlers ki be simt bowling ki wajah se is score ka difaa nahi kia ja sakta. Taylor ne 84 gaindoun mein 10 chowkun atr 4 chakkoun ki madad se Not Out 109 runs ki Inning kheli jis ki badolat New Zealand ne 48. 1 over mein 6 wicket par 348 runs banakar match jeet liya. Taylor ku unki not out century ki wajah se Man of the Match qarar deya gaya hai.

Qabal azeen Shreyas Iyer’s ( 103 ) ki behtareen century, K.L Rahul Not out ( 88 ) aur Captain Virat Kohli ( 51 ) ki nisf Century ki badolat Hindustan ne New Zealand ke khilaaf 3 Matches ki one day series ke pehlay match mein 4 wicket par 347 Runs ke himaliyai score bana liya tha. Toss haar kar batting karne utri hindustani team ki janib se Shreyas Iyer’s ne 107 gaindoun par ek chakka aur 11 chowkoun ki madad se apni pehla bain ul aqwami One Day century banai. T20 series mein opening karne ke baad One Day series ke pehlay match mein panchwen number par Rahul ne apni lajawab form ko barqarar rakhtay hue 64 gaindoun ki Inning mein 6 chakkoun aur 3 chowkoun ki madad se barq-e raftaar 88 Runs banaye

 Rahul aur Shreyas Iyer’s ke darmain chothi wicket ke liye 136 runs ki badi shiraakat ki. Rohit Sharma aur Shekhar Dhawan ki ghair mojoodgi mein Inning ka aaghaz karne utre Mayank Agarwal aur Prithvi Shaw ne Hindustan ko behtareen shuruvaat dilae aur dono ne pehli wicket ke liye 50 runs ki shiraakat ki. Prithvi Shaw kuch khaas nahi kar sakay aur 20 runs bana kar Colin de Grandhomme ka shikaar banay. Pehli wicket girnay ke baad Captain Virat ne Inning ko sambhaalte hue team ke score ko agay badhaya lekin mehez 4 run baad Mayank bhi Tim Southee  ki gaind par catch day baithy aur pavilion lout gaye. Mayank Agarwal ne 31 gaindoun par 6 chowkun ki madad 32 run banaye.

Kohli aur Shreyas  ne behtareen muzahira kiya aur dono ke darmain teesri wicket ke liye 102 runs ki badi shiraakat hui. Kohli ne 63 gaindoun par 6 chowkuon ki madad se 51 run banaye aur wo leg Spiner Ish Sodhi ¸ ka shikaar banay. New Zealand ki janib se Tim Southee ne 10 over mein 85 runs day kar sab se ziyada 2 wicket, Colin de Grandhomme ne 8 over mein 41 runs day kar ek wicket aur Ish Sodhi ne apne 4 overs mein 27 runs day kar ek wicket liya. –YTN STAFF