New Delhi. Makhsoos zumron ke Tax dahindgaan ke liye assesment year 2018-19 ke liye Income Tax Returns ke adkhal ki aakhri tareekh 31st July mein aik mah ki tausee ki hai. Commissioner Income Tax Media and Technical Policy Mr. Surabhi Ahluwalia ke press note ke bamawajib Central Board of Direct Taxes (CBDT) ne income Tax returns ke adkhal ki aakhri tareekh 31 July ko barha kar 31st August tak tausee di hai. Aakhri assesment year tak taakheer se income Tax Returns ke adkhal par koi jurmana nahi tha, taham assesment year 2018-19 se jurmana laago hoga. Qanoon Income Tax mein hukoomat ne aik nai dafaa 234f ko shaamil kya gaya hai jis ki rou se qanoon ki dafaa 139 (1) mein sarahat kardah tawareekh ke baad agar koyi fard Income Tax Return daakhil karta hai to is par 10, 000 rupay tak jurmana aayed hoga. Tax mahireen ka kehna hai ke Finance Act 2017 mein ki gayi tarmeem ke mutabiq Tax dahindgaan maali saal 2017-18 ke liye Tax return daakhil karne ki aakhri tareekh (yani 31st July 2018 ) ke baad aur 31st Decemeber 2018 se qabal Tax Return daakhil karte to inhen 5,000 rupay jurmana ada karna padta. Agar Tax Return 1st January 2019 ya is ke baad daakhil kiye jaane ki soorat mein jurmana ki raqam badh kar 10,000 rupay hojaye gi. Agar Tax dahinda ki majmoyi aamdani 5 lakhs rupay se kam ho to fees ki raqam aik hazaar rupay se zayed nahi hogi. ab is tareekh mein tausee karte hue 31st Augst tak tausee kar di gayi hai.