Monday, October 14, 2024
HomeIndiaTax case mein Delhi High Court mein Sonia aur Rahul ki darkhwast...

Tax case mein Delhi High Court mein Sonia aur Rahul ki darkhwast mustarad

New Delhi. Delhi High Court ney peer ko Congress qaayideen Mrs. Sonia Gandhi aur Sadar Congress Mr. Rahul Gandhi ki 2011-12 ke liye un ke Tax Assessments ko kholnay ke faisla ko challenge karte huwe daakhil kardah Writ darkhwast ko kharij kardiya. Justice S Ravindra Bhat aur Justice A K Chawla par mushtamil aik bench ney kaha ke Writ darkhwasten nakaam hogayi hain. Bench ney Congress qaayed Oscar Fernandes ki Writ darkhwast ko kharij kardiya, unhon ney bhi un ke saal 2011-12 ke Tax Assessments ke dubarah khole jany ko Challenge kiya tha. Nakam tax mehkuma ki janib se yeh id-diya kiye jany ke baad ke saal 2011-12 ke liye Rahul Gandhi ka assessment dubarah khoola gaya jis ko challenge karte huwe Writ darkhwast daayir ki gayi thi. Adalat ul aaliya ne apna faisla 16th August ko mehfooz kiya tha. Adalat ne mehkuma Tax se zabani daryaft kiya tha ke Sonia Gandhi, Rahul aur Farnandiz ke khilaaf faisla ke elaan tak koi ahem qadam nah uthae. Senior Advocate P Chidambaram ney Sonia Gandhi ki janib se paish hotay huwe kaha tha ke inhen Additional Solicitor General Tushar Mehta ke zabani bayan par bharosa hai. Mehta ney istadlaal paish kiya tha ke Congress qaideen ne mehkuma Tax par beja ilzaam aayed kiya hai magar is ka koi manfi assar nahi pade ga. Congress qaayideen ke khilaaf Income Tex ke cases uss waqt uth khaday huwe jab BJP qayed Subramaniyam Swami ney National Herald case ke silsila mein aik zaireen adalat ke rubaroo aik khangi faujdaari shikayat daayir ki. Shikayat mein Sonia , Rahul aur deegar par sirf 50 lakh rupay ada karte huwe dhoka dainay aur Fands ka tagalub karne ka ilzaam aayed kiya gaya jis ke zareya Young India (YI) ney 90. 25 crore rupay wasool karne ka haq haasil kiya jo Associated Journals Limited (AJL) Congress party ko ada shudni hai. Yeh ilzaam hai ke  AJL November 2010 mein 50 lakh rupay ke sarmaya se shuru kiya gaya, IJL ke taqreeban tamam share holdings haasil karliye jo National herald news paper chalata hai. Is amal mein YI ney AJL ke 90 crores rupay ke baqaya jaat bhi haasil karliye. Tax Department ney kaha ke YI mein Rahul ke assessment se unhen 154 crore rupay ki aamdani haasil hogi na ke 68 lakh rupay ki jaissa ke qabal azeen assessment mein zahir kiya gaya. Mehkuma ney phelay hi YI ko 2011-12 ke assessment ke liye YI ko 249.15 crore rupay ki notice jari kar di hai.