Monday, September 16, 2024
HomeOthersBusinessTarkin fees par nazar sani, Saudi Arab mein tijarat ke mazeed mawaqay...

Tarkin fees par nazar sani, Saudi Arab mein tijarat ke mazeed mawaqay mutawaqqa

Riyadh: Saudi Arab mein nai Islahat ka ek silsila chal raha hai jis ki wajah se tarikeen watan ko mukhtalif fees ki madmin jeep par kaafi boojh pada hai taham ab hakkaam ne tarikeen watan fees par nazar sani karli hai. Saudi wazeer tijarat-o-sarmaya kaari  Majed Al-Qasabi  ke mutabiq tarikeen fees par nazar sani karli gayi hai.Majed Al-Qasabi ne kaha hai ke tarikeen par har terhan ki fees par nazar sani ka jaiza ewaan Shahi ko pesh kardiya gaya. labour market ki policy bananay wali committee ke arkaan se bhi baat cheet ki gayi hai.

Tafseelaat ke mutabiq wazeer tijarat-o-sarmaya kaari ne business council taqreeb se khitaab kar karte hue tarikeen watan fees par nazar sani ki baat kahi hai. Business council ka maqsad taajiroun ke darmain taluqaat hamwar karna inhen guft-o-shaneed ka mauqa faraham karna aur tijarat-o-sarmaya kaari ke shobo se talluq rakhnay walay masail par izhaar khayaal ki sahoolat muhayya karna hai.

Majed Al-Qasabi  ne kaha ke tarikeen par fees ka masla har sarmayakar se juda huwa hai. Tabdeeli zurori hai. Hukoomat qawaneen ko behtar bananay aur un par nazar sani karne ki policy par gamzan hai. Baldeati counsolts ke qawaneen mein bhi tarmeem ki jarahi hai. Mustaqbil mein sarmaya kaari ke mazeed mawaqay peda hon ge. Wazeer tijarat ne mazeed kaha hai ke sarmaya kaari ke liye qudrati wasail aur zabardast imkanaat mojood hain. 2019 ki teesri sah mahi tak transport aur khidmaat ke shobo mein 86 hazar licence jari kiye ja chuke hain.

Majed Al-Qasabi ne Iraq mein sarmaya kaari se mutaliq sawal par kaha ke Iraq ke liye Saudi baraamdaat 40 crore se badh kar 1.3 Arab Riyal tak poanch gayeen aur is mein mazeed izafay ke liye koshan hain. Mumlikat mein electronic kaarobar ki manndi ka hajam 80 Arab Riyal ka hai. Poori duniya ki satah par electronic kaarobar ka hajam 30 Trilion dollar hai. Mumlikat mein online shopping karne waloun ki tadaad 14 Million hai. 38 hazaar idaray licence lekar online kaarobar kar rahay hain jabkay daak companiyon ke ijazat naamon ki tadaad 22 tak poanch gayi hai. –YTN STAFF