Kuwait City: Corona bohraan ke aaghaz se ab tak aisay 70 hazaar bairooni afraad Record par aaye hain jin ke Kuwait Iqama khatam hogaye hain. Kuwait wizarat dakhla ne aisay tarkin watan ka masla thos bunyadoun par hal karne ka silsila shuru kardiya. Kuwait akhbar ke mutabiq aindah haftay Kuwait ki wizarat dakhla ke aala ohdedar beroun Kuwait mojood 70 hazaar ghair mulkioun ke mamlaat ka har pehlu se jaiza len ge. It-tila-aat ke mutabiq wizarat dakhla ke hukkaam tarkin watan ki Kuwait wapsi se mutaliq ahem faislay karen ge.
It-tila-aat mein bataya gaya hai ke Zayed Al-Mead Iqame walay 70 hazaar ghair mulkioun ko mutadid zumroun mein taqseem kar diya gaya hai aur har zamray mein shaamil tarikeen ke mamlaat allag allag bunyadoun par hal kiye jayen ge. Kuwait wizarat dakhla ke zaraye ne kaha hai ke jin ghair mulkioun ki Kuwait wapsi ka faisla hoga un ke liye Visit visay jari hon ge. Un Visa par wo Kuwait wapas ayen ge. Kuwait poanch kar un ke Visit Visa sabiq Resident Permit mein tabdeel kardiye jayen ge.
Kuwait wizarat dakhla neh kaha hai ke un 70 hazaar afraad mein se 3 zumroun mein shaamil ghair mulkion ki baabat tey kiya ja raha hai ke inhen wapsi ki ijazat nahi hogi. Aisay ghair mulki karkun jin ki umrein 60 baras se ziyada hochuki hain. Aisay ghair mulki karkun jin ke Iqama farzi companiyoun ke hain aur ye karkun un Companies ke haqeeqi mulazim nahi hain.
Wizarat dakhla ke zaraye ke bamujab jahan gharelo amlay ka talluq hai to un ki Kuwait wapsi ya adam wapsi ka faisla Security Record aur omar ki bunyaad par kiya jaye ga. Agar kisi gharelo mulazim ki omar 60 baras se oopar hochuki hogi to is ke kafeel se kaha jaye ga ke wo is ki jagah koi kam omar mulazim laaye jabkay gharelo amlay mein se kisi aisay shakhs ko jis ka Security Record kharab hoga aur is ka Iqama beroun Kuwait khatam hochuka hoga usay wapsi ki ijazat nahi di jaye gi.
Beroun Kuwait rehtay hue Zayed Al-Meyad Iqama ke maslay se dochar tarkin ke maali huqooq ki baabat Kuwait wizarat dakhla ke zaraye ne kaha ke un mein se jin logoun ke Kuwait nah anay ka faisla kar liya jaye ga afradi qowat ka mehakma un ke huqooq un ki company se wusool karkay inhen bhijvaaye ga. Is ki karwai ke liye mehakma E-Platform par darkhwasten talabb kere ga.